Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilm

MORE BYBanne Miyan Jauhar

    hai zabāñ par sab mid.hat ilm

    kyoñ na ho dil meñ mohabbat ilm

    kyoñ na ho har ik ko chāhat ilm

    har kisī ko hai zarūrat ilm

    ilm ke rutbe se vāqif hai jahāñ

    goshe goshe meñ hai shohrat ilm

    jis ko chaskā lag gayā hai ilm

    pūchhiye us se haqīqat ilm

    bas usī ne paa.ī izzat mulk meñ

    dil se hai jis ne ḳhidmat ilm

    saare duniyā chahītā hai ye ilm

    rahtī hai har dil meñ ulfat ilm

    vo zalīl-o-ḳhvār duniyā meñ huā

    jis kisī ne na izzat ilm

    do jahāñ us ko ne.amat mil ga.ī

    ho ga.ī jis par ināyat ilm

    surḳh-rū hotā hai vo ik din zarūr

    rahtī hai jis dil ko chāhat ilm

    taḳht-e-shāhī kyā hai miltā hai ḳhudā

    is se baḌh kar kyā ho barakat ilm

    kyoñ kisī ke aage vo phailā.e haath

    haath aa.ī jis ke daulat ilm

    hai ye kunjī aish aur ārām

    kyā batā.ūñ qadr-o-qīmat ilm

    saarī duniyā rahī hai jis se faiz

    hai haqīqat meñ vo daulat ilm

    jaan se is ko samajhte haiñ aziiz

    jin pe raushan hai haqīqat ilm

    ho vo bachcha ho būḌhā javān

    har kisī ko hai zarūrat ilm

    jaao 'jauhar' har kahīñ be-ḳhauf tum

    koī lūTegā na daulat ilm

    hai zaban par sab ki midhat ilm ki

    kyon na ho dil mein mohabbat ilm ki

    kyon na ho har ek ko chahat ilm ki

    har kisi ko hai zarurat ilm ki

    ilm ke rutbe se waqif hai jahan

    goshe goshe mein hai shohrat ilm ki

    jis ko chaska lag gaya hai ilm ka

    puchhiye us se haqiqat ilm ki

    bas usi ne pai izzat mulk mein

    dil se ki hai jis ne KHidmat ilm ki

    sare duniya ka chahita hai ye ilm

    rahti hai har dil mein ulfat ilm ki

    wo zalil-o-KHwar duniya mein hua

    jis kisi ne ki na izzat ilm ki

    do jahan ki us ko neamat mil gai

    ho gai jis par inayat ilm ki

    surKH-ru hota hai wo ek din zarur

    rahti hai jis dil ko chahat ilm ki

    taKHt-e-shahi kya hai milta hai KHuda

    is se baDh kar kya ho barakat ilm ki

    kyon kisi ke aage wo phailae hath

    hath aai jis ke daulat ilm ki

    hai ye kunji aish aur aaram ki

    kya bataun qadr-o-qimat ilm ki

    sari duniya pa rahi hai jis se faiz

    hai haqiqat mein wo daulat ilm ki

    jaan se is ko samajhte hain aziz

    jin pe raushan hai haqiqat ilm ki

    ho wo bachcha ya ho buDha ya jawan

    har kisi ko hai zarurat ilm ki

    jao 'jauhar' har kahin be-KHauf tum

    koi luTega na daulat ilm ki

    Source:

    Gul Boote (Pg. 10)

    • Author: Banne Miyan Jauhar
      • Publisher: Haqqani Barqi Press, Madras
      • Year of Publication: 1936
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now