Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iltija

Sabir Aafaque

iltija

Sabir Aafaque

MORE BYSabir Aafaque

    daraḳht ko jaise do lakaḌhāre ek aare se kāTte haiñ

    daraḳht chāhe ghanā ho jitnā baḌā ho jitnā

    magar ye donoñ baḌe ārām se use kāTte haiñ socho

    agar ye do bajā.e bas ek ho to kyā ho

    ki ek ke bas baat hogī daraḳht ko kaaT kar girānā

    nahīñ ye mumkin nahīñ hai hargiz

    bahut dushvāriyoñ se us ko guzarnā hogā

    agar vo koshish kare bhī to uljhaneñ to hoñgī

    bahut se aise bhī mas.ale hoñge jin ḳhātir

    udāsiyoñ se nirāsh ho kar

    vo thak ke baiThe

    mirī bhī uljhan kuchh aisī hai

    ki hijr ye bhī daraḳht jaisā ghanā hai jānāñ baḌā hai jānāñ

    akele maiñ is ko kaaT saktā huuñ tum socho

    bahut dushvāriyoñ se maiñ bhī guzar rahā huuñ

    agar maiñ koshish karūñ bhī to uljhaneñ bahut haiñ

    bahut se aise bhī mas.ale haiñ ki jin ḳhātir

    udāsiyoñ se nirāsh ho kar

    maiñ thak ke baiThā huuñ

    suno mirī ek iltijā hai

    ki haath merā baTāne tum aao thoḌā jānāñ

    bahut hai mumkin

    ki donoñ mil kar ye hijr kāTeñ

    to ye ghanā peḌ kaT giregā

    daraKHt ko jaise do lakaDhaare ek aare se kaTte hain

    daraKHt chahe ghana ho jitna baDa ho jitna

    magar ye donon baDe hi aaram se use kaTte hain socho

    agar ye do ki bajae bas ek ho to kya ho

    ki ek ke bas ki baat hogi daraKHt ko kaT kar girana

    nahin ye mumkin nahin hai hargiz

    bahut si dushwariyon se us ko guzarna hoga

    agar wo koshish kare bhi to uljhanen to hongi

    bahut se aise bhi masale honge jin ki KHatir

    udasiyon se nirash ho kar

    wo thak ke baiThe

    meri bhi uljhan kuchh aisi hi hai

    ki hijr ye bhi daraKHt jaisa ghana hai jaanan baDa hai jaanan

    akele main is ko kaT sakta hun tum hi socho

    bahut si dushwariyon se main bhi guzar raha hun

    agar main koshish karun bhi to uljhanen bahut hain

    bahut se aise bhi masale hain ki jin ki KHatir

    udasiyon se nirash ho kar

    main thak ke baiTha hun

    suno meri ek iltija hai

    ki hath mera baTane tum aao thoDa jaanan

    bahut hai mumkin

    ki donon mil kar ye hijr kaTen

    to ye ghana peD kaT girega

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now