Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

imroz

Majeed Amjad

imroz

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    abad ke samundar ik mauj jis par mirī zindagī kañval tairtā hai

    kisī an-sunī dā.imī rāgnī koī taan āzurda āvāra barbād

    jo dam bhar ko aa kar mirī uljhī uljhī sāñsoñ ke sañgīt meñ Dhal ga.ī hai

    zamāne phailī huī be-karāñ vus.atoñ meñ ye do chaar lamhoñ mī.ād

    tulū o ġhurūb-e-mah-o-mehr ke jāvedānī tasalsul do chaar kaḌiyāñ

    ye kuchh thartharāte ujāloñ rūmān ye kuchh sansanāte añdheroñ qissa

    ye jo kuchh ki mere zamāne meñ hai aur ye jo kuchh ki us ke zamāne meñ maiñ huuñ

    yahī merā hissa azal se abad ke ḳhazānoñ se hai bas yahī merā hissa

    mujhe kyā ḳhabar vaqt ke devtā hasīñ rath ke pahiyoñ tale pis chuke haiñ

    muqaddar ke kitne khilaune zamānoñ ke hañgāme sadiyoñ ke sad-hā hayūle

    mujhe kyā ta.alluq merī āḳhirī saañs ke ba.ad bhī dosh-e-gītī pe machle

    mah o saal ke lā-zavāl āb-shār-e-ravāñ vo āñchal jo tāroñ ko chhū le

    magar aah ye lamha-e-muḳhtasar jo mirī zindagī merā zād-e-safar hai

    mire saath hai mere bas meñ hai merī hathelī pe hai ye labā-lab pyāla

    yahī kuchh hai le de ke mere liye is ḳharābāt-e-shām-o-sahar meñ yahī kuchh

    ye ik mohlat-e-kāvish-e-dard-e-hastī ye ik fursat-e-koshish-e-āh-o-nāla

    ye sahbā-e-imroz jo sub.h shāhzādī mast añkhḌiyoñ se Tapak kar

    ba-daur-e-hayāt aa ga.ī hai ye nannhī chiḌiyāñ jo chhat meñ chahakne lagī haiñ

    havā ye jhoñkā jo mere darīche meñ tulsī Tahnī ko larzā gayā hai

    paḌosan ke āñgan meñ paanī ke nalke pe ye chūḌiyāñ jo chhanakne lagī haiñ

    ye duniya-e-imroz merī hai mere dil-e-zār dhaḌkanoñ amiiñ hai

    ye ashkoñ se shādāb do chaar sub.heñ ye aahoñ se māmūr do chaar shāmeñ

    inhī chilmanoñ se mujhe dekhnā hai vo jo kuchh ki nazroñ zad meñ nahīñ hai

    abad ke samundar ki ek mauj jis par meri zindagi ka kanwal tairta hai

    kisi an-suni daimi ragni ki koi tan aazurda aawara barbaad

    jo dam bhar ko aa kar meri uljhi uljhi si sanson ke sangit mein Dhal gai hai

    zamane ki phaili hui be-karan wusaton mein ye do chaar lamhon ki miad

    tulu o ghurub-e-mah-o-mehr ke jawedani tasalsul ki do chaar kaDiyan

    ye kuchh thartharaate ujalon ka ruman ye kuchh sansanate andheron ka qissa

    ye jo kuchh ki mere zamane mein hai aur ye jo kuchh ki us ke zamane mein main hun

    yahi mera hissa azal se abad ke KHazanon se hai bas yahi mera hissa

    mujhe kya KHabar waqt ke dewta ki hasin rath ke pahiyon tale pis chuke hain

    muqaddar ke kitne khilaune zamanon ke hangame sadiyon ke sad-ha hayule

    mujhe kya talluq meri aaKHiri sans ke baad bhi dosh-e-giti pe machle

    mah o sal ke la-zawal aab-shaar-e-rawan ka wo aanchal jo taron ko chhu le

    magar aah ye lamha-e-muKHtasar jo meri zindagi mera zad-e-safar hai

    mere sath hai mere bas mein hai meri hatheli pe hai ye laba-lab pyala

    yahi kuchh hai le de ke mere liye is KHarabaat-e-sham-o-sahar mein yahi kuchh

    ye ek mohlat-e-kawish-e-dard-e-hasti ye ek fursat-e-koshish-e-ah-o-nala

    ye sahba-e-imroz jo subh ki shahzadi ki mast ankhDiyon se Tapak kar

    ba-daur-e-hayat aa gai hai ye nannhi si chiDiyan jo chhat mein chahakne lagi hain

    hawa ka ye jhonka jo mere dariche mein tulsi ki Tahni ko larza gaya hai

    paDosan ke aangan mein pani ke nalke pe ye chuDiyan jo chhanakne lagi hain

    ye duniya-e-imroz meri hai mere dil-e-zar ki dhaDkanon ki amin hai

    ye ashkon se shadab do chaar subhen ye aahon se mamur do chaar shamen

    inhi chilmanon se mujhe dekhna hai wo jo kuchh ki nazron ki zad mein nahin hai

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 100)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now