Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daraKHt-e-zard

Jaun Eliya

daraKHt-e-zard

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

  Interesting Fact

  John Eliya once saw his only son, Zariyun, now a teenage boy. John did not recognize him at all. And even though his son recognized him, he did not show any special affection towards him. John was heartbroken, and that night he shed tears and wrote his Nazm, 'Darakht-e-Zard'. John had written the poem and kept it with him and never told anyone. Then he called me and told me that he wanted to recite a poem to me. In the back of this desolate and broken room, upon John's bed, he first told me the background of this poem and then he started reciting this poem. His condition was such that he used to weep and recite the poem. John would have shed more tears in reciting this poem than there were words in this long poem. His health deteriorated during this time. He gasped as he talked, and his breath began to swell as he read along. He was suffering from severe nervous weakness. One day I read in the newspaper that John had died in the hospital last night. Going through a thousand thorny twists and turns, the story of his life finally came to an end. John fought and killed himself all his life. And in that state of gloom, he left the world. I see him talking to his son Zariyun in his very unique and wonderful poem 'Darakht-e-Zard'. Derived from Anwar Ahsan Siddiqui's book "Dil-e-Pur Khuun kii ik Gulabi"

  nahīñ ma.alūm 'zaryūn' ab tumhārī umr kyā hogī

  vo kin ḳhvāboñ se jaane āshnā nā-āshnā hogī

  tumhāre dil ke is duniyā se kaise silsile hoñge

  tumheñ kaise gumāñ hoñge tumheñ kaise gile hoñge

  tumhārī sub.h jaane kin ḳhayāloñ se nahātī ho

  tumhārī shaam jaane kin malāloñ se nibhātī ho

  na jaane kaun doshīza tumhārī zindagī hogī

  na jaane us kyā bāyastagī shā.istagī hogī

  use tum phone karte aur ḳhat likhte rahe hoge

  na jaane tum ne kitnī kam ġhalat urdu likhī hogī

  ye ḳhat likhnā to daqyānūs pīḌhī qissa hai

  ye sinf-e-nasr ham nā-bāliġhoñ ke fan hissa hai

  vo hañstī ho to shāyad tum na rah paate ho hāloñ meñ

  gaḌhā nanhā paḌ jaatā ho shāyad us ke gāloñ meñ

  gumāñ ye hai tumhārī bhī rasā.ī nā-rasā.ī ho

  vo aa.ī ho tumhāre paas lekin aa na paa.ī ho

  vo shāyad mā.ide gand biryānī na khātī ho

  vo nān-e-be-ḳhamīr-e-maida kam-tar chabātī ho

  vo doshīza bhī shāyad dāstānoñ ho dil-dāda

  use ma.alūm hogā 'zāl' thā 'sohrāb' daadā

  tahamtan ya.anī 'rustam' thā girāmī 'sām' vāris

  girāmī 'sām' thā sulb-e-nar-e-'mānī' ḳhush-zāda

  (ye merī ek ḳhvāhish hai jo mushkil hai)

  vo 'najm'-āfañdi-e-marhūm ko to jāntī hogī

  vo nauhoñ ke adab tarz to pahchāntī hogī

  use kad hogī shāyad un sabhī se jo lapāḌī hoñ

  na hoñge ḳhvāb us jo gavayye aur khilāḌī hoñ

  hadaf hoñge tumhārā kaun tum kis ke hadaf hoge

  na jaane vaqt paikār meñ tum kis taraf hoge

  hai ran ye zindagī ik ran jo barpā lamha lamha hai

  hameñ is ran meñ kuchh bhī ho kisī jānib to honā hai

  so ham bhī is nafas tak haiñ sipāhī ek lashkar ke

  hazāroñ saal se jiite chale aa.e haiñ mar mar ke

  shuhūd ik fan hai aur merī adāvat be-fanoñ se hai

  mirī paikār azal se

  ye 'ḳhusro' 'mīr' 'ġhālib' ḳharāba bechtā kyā hai

  hamārā 'ġhālib'-e-āzam thā chor āqa-e-'bedil'

  so rizq-e-faḳhr ab ham khā rahe haiñ 'mīr'-e-bismil

  sidhārat bhī thā sharminda ki do-ābe baasī thā

  tumheñ ma.alūm hai urdu jo hai paalī se niklī hai

  vo goyā us ik pur-numū Daalī se niklī hai

  ye kaḌvāhaT bāteñ haiñ miThās in na pūchho tum

  nam-e-lab ko tarastī haiñ so pyaas in na pūchho tum

  ye ik do jur.oñ ik chuhl hai aur chuhl meñ kyā hai

  avāmunnās se pūchho bhalā al-kuhl meñ kyā hai

  ye