Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inhidam

Irfan Shahood

inhidam

Irfan Shahood

MORE BYIrfan Shahood

    dastāvezī process mukammal huā

    kāhinoñ ġhaib-dānoñ fitnagarī ke zamāne fanā ho ga.e

    aur anjum-shanāsī ke māhir falak pe badaltī huī zindagī khoj karte hue miT ga.e

    nainvā khudā.ī se mai bharī botaleñ mil ga.iiñ zā.iqe to savā the magar jaane kyuuñ kal-adam ho ga.e

    maz.habī āshram kaif kapkapāhaT se uryāñ hoī 300 hertz chīḳh biphrī kisī samt se

    jins-e-ādam ke kānoñ se bahne lagā ḳhuun phaTne lage phephḌe

    to mashaqqat ke circle se venus mazdūr thakne lagā

    in havāoñ meñ uḌte hoī sab parinde ḳhalāoñ meñ gum ho ga.e

    yuuñ khule bāzūoñ se baġhal-gīr ushn ke abrū ḳhamīda hue to usī pal meñ ḳhushkī tarī ke sabhī fāsle miT ga.e

    arsh vaale farishte muḳhātab hue vo jo naa.eb the ulTe qadam ho liye aaj shab sunā hai ki naqqārchī sab bulā.e ga.e

    ek sayyār-e-falakī mohalle se kam ho gayā

    dastawezi process mukammal hua

    kahinon ghaib-danon ki fitnagari ke zamane fana ho gae

    aur anjum-shanasi ke mahir falak pe badalti hui zindagi khoj karte hue miT gae

    nainwa ki khudai se mai ki bhari botalen mil gain zaiqe to sawa the magar jaane kyun kal-adam ho gae

    mazhabi aashram kaif ki kapkapahaT se uryan hoi 300 hertz ki chiKH biphri kisi samt se

    jins-e-adam ke kanon se bahne laga KHun phaTne lage phephDe

    to mashaqqat ke circle se wenus ka mazdur thakne laga

    in hawaon mein uDte hoi sab parinde KHalaon mein gum ho gae

    yun khule bazuon se baghal-gir ushn ke abru KHamida hue to usi pal mein KHushki tari ke sabhi fasle miT gae

    arsh wale farishte muKHatab hue wo jo naeb the ulTe qadam ho liye aaj ki shab suna hai ki naqqarchi sab bulae gae

    ek sayyar-e-falaki mohalle se kam ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now