Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insaf ka taraazu jo hath mein uThae

Sahir Ludhianvi

insaf ka taraazu jo hath mein uThae

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    insāf tarāzū jo haath meñ uThā.e

    jurmoñ ko Thiik tole

    aisā na ho ki kal itihās-kār bole

    mujrim se bhī ziyāda

    munsif ne zulm Dhāyā

    kiiñ pesh us ke aage ġham gavāhiyāñ bhī

    rakkhīñ nazar ke aage dil tabāhiyāñ bhī

    us ko yaqīñ na aayā

    insāf kar na paayā

    aur apne us amal se

    bad-kār mujrmoñ ke nāpāk hausloñ ko

    kuchh aur bhī baḌhāyā

    insāf tarāzū jo haath meñ uThāte

    ye baat yaad rakkhe

    sab munsifoñ se uupar

    insaf ka taraazu jo hath mein uThae

    jurmon ko Thik tole

    aisa na ho ki kal ka itihas-kar bole

    mujrim se bhi ziyaada

    munsif ne zulm Dhaya

    kin pesh us ke aage gham ki gawahiyan bhi

    rakkhin nazar ke aage dil ki tabahiyan bhi

    us ko yaqin na aaya

    insaf kar na paya

    aur apne us amal se

    bad-kar mujrmon ke napak hauslon ko

    kuchh aur bhi baDhaya

    insaf ka taraazu jo hath mein uThate

    ye baat yaad rakkhe

    sab munsifon se upar

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 471)
    • Author : SAHIR LUDHIANVI
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now