Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insan ki fariyaad

Ghulam Bhik Nairang

insan ki fariyaad

Ghulam Bhik Nairang

MORE BYGhulam Bhik Nairang

    haañ ai masāf-e-hastī! mat pūchh mujh se kyā huuñ

    ik arsa-e-balā huuñ ik luqma-e-fanā huuñ

    majbūriyoñ ne Daalā gardan meñ merī phandā

    ḳhud-karda-e-vafā huuñ jāñ-dāda-e-razā huuñ

    sayyād hādse kartā hai merā pīchhā

    murġh-e-burīda-par huuñ said-e-shikasta-pā huuñ

    hai zaat merī majma.a saarī burā.iyoñ

    kahne ko maiñ baḌā huuñ lekin bahut burā huuñ

    āzādiyoñ mujh par tohmat hai sarāsar

    maiñ qaidī-e-havas huuñ maiñ banda-e-havā huuñ

    ik baat ho batā.ūñ ik dard ho sunā.ūñ

    ro.uuñ bhalā kahāñ tak kab tak paḌā karāhūñ

    kam-baḳht dil kuchh aisā maiñ saath le ke aayā

    ik lamha jis ke hāthoñ duniyā meñ sukh na paayā

    jo josh is meñ uTThā hālāt ne dabāyā

    jo sho.ala is meñ bhaḌkā taqdīr ne bujhāyā

    ummīd ye ġhuncha khilte kabhī na dekhā

    ye aarzū paudā phaltā nazar na aayā

    go is meñ maujzan thī qaum o vatan ulfat

    lekin ġharaz ne is ko kuchh aur sikhāyā

    hotī nahīñ rasā.ī ummīd ke ufuq tak

    tūl-e-amal ne is ko ik jaal meñ phañsāyā

    rahbarī ḳhirad ne har-chand rahnumā.ī

    is juhd par bhī lekin khultī nahīñ sachchā.ī

    paayā na maiñ ne ab tak maqsad apne sāhil

    bahr-e-ma.arfat meñ din raat āshnā.ī

    is justujū meñ maiñ ne sair-e-tūr-o-aiman

    parbat ko ghar banāyā jangal se lau lagā.ī

    mandir ko ke dekhā girjā meñ ke DhūñDā

    masjid ko chhān maarā us na diid paa.ī

    jogī ruup dhārā ban meñ kiyā guzārā

    tan par bhabhūt mal kar dhūnī bahut ramā.ī

    jap tap meñ umr apnī maiñ ne basar aksar

    ban ban ke pīr-e-rāhib ḳhānqāh basā.ī

    suufī bhī ban ke dekhā aur rind-e-be-riyā bhī

    kar nāra-e-anā-al-haq ik khalbalī machā.ī

    phirtī haiñ maarī maarī mushtāq-e-jalva āñkheñ

    par ik jhalak se baḌh kar detā nahīñ dikhā.ī

    uTh nazar se merī haañ ai hijāb-e-hastī

    husn-e-azal nihāñ hai zer-e-naqāb-e-hastī

    ye zindagī-e-insāñ ik ḳhvāb hai pareshāñ

    bedārī-e-adam hai ta.abīr-e-ḳhvāb-e-hastī

    dekheñ agar to kyūñ-kar ham jalva-e-ma.ārif

    zulmat-e-nazar hai ai āftāb-e-hastī

    taskīñ ko zahr-e-qātil āb-o-havā-e-ālam

    rāhat dushman-e-jāñ har inqalāb-e-hastī

    ai tishna-e-haqīqat dhoke meñ na aanā

    ik dām-e-pur-ḳhatar hai mauj-e-sarāb-e-hastī

    chāhe agar rihā.ī pesh-az-fanā fanā ho

    pādāsh-e-jurm-e-hastī hai ye azāb-e-hastī

    han ai masaf-e-hasti! mat puchh mujh se kya hun

    ek arsa-e-bala hun ek luqma-e-fana hun

    majburiyon ne Dala gardan mein meri phanda

    KHud-karda-e-wafa hun jaan-dada-e-raza hun

    sayyaad hadse ka karta hai mera pichha

    murgh-e-burida-par hun said-e-shikasta-pa hun

    hai zat meri majma sari buraiyon ka

    kahne ko main baDa hun lekin bahut bura hun

    aazadiyon ki mujh par tohmat hi hai sarasar

    main qaidi-e-hawas hun main banda-e-hawa hun

    ek baat ho bataun ek dard ho sunaun

    roun bhala kahan tak kab tak paDa karahun

    kam-baKHt dil kuchh aisa main sath le ke aaya

    ek lamha jis ke hathon duniya mein sukh na paya

    jo josh is mein uTTha haalat ne dabaya

    jo shoala is mein bhaDka taqdir ne bujhaya

    ummid ka ye ghuncha khilte kabhi na dekha

    ye aarzu ka pauda phalta nazar na aaya

    go is mein maujzan thi qaum o watan ki ulfat

    lekin gharaz ne is ko kuchh aur hi sikhaya

    hoti nahin rasai ummid ke ufuq tak

    tul-e-amal ne is ko ek jal mein phansaya

    ki rahbari KHirad ne har-chand rahnumai

    is juhd par bhi lekin khulti nahin sachchai

    paya na main ne ab tak maqsad ka apne sahil

    ki bahr-e-marfat mein din raat aashnai

    is justuju mein main ne ki sair-e-tur-o-aiman

    parbat ko ghar banaya jangal se lau lagai

    mandir ko ja ke dekha girja mein ja ke DhunDa

    masjid ko chhan mara us ki na did pai

    jogi ka rup dhaara ban mein kiya guzara

    tan par bhabhut mal kar dhuni bahut ramai

    jap tap mein umr apni main ne basar ki aksar

    ban ban ke pir-e-rahib ja KHanqah basai

    sufi bhi ban ke dekha aur rind-e-be-riya bhi

    kar nara-e-ana-al-haq ek khalbali machai

    phirti hain mari mari mushtaq-e-jalwa aankhen

    par ek jhalak se baDh kar deta nahin dikhai

    uTh ja nazar se meri han ai hijab-e-hasti

    husn-e-azal nihan hai zer-e-naqab-e-hasti

    ye zindagi-e-insan ek KHwab hai pareshan

    bedari-e-adam hai tabir-e-KHwab-e-hasti

    dekhen agar to kyun-kar hum jalwa-e-maarif

    tu zulmat-e-nazar hai ai aaftab-e-hasti

    taskin ko zahr-e-qatil aab-o-hawa-e-alam

    rahat ka dushman-e-jaan har inqalab-e-hasti

    ai tishna-e-haqiqat dhoke mein tu na aana

    ek dam-e-pur-KHatar hai mauj-e-sarab-e-hasti

    chahe agar rihai pesh-az-fana fana ho

    padash-e-jurm-e-hasti hai ye azab-e-hasti

    Source:

    Intekhabe Kalam (Pg. 8)

    • Author: Ghulam Bhek Nairang
      • Edition: 2010
      • Publisher: Oxford University Press Pakistan
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now