Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intellectual

Raza Naqvi Vahi

intellectual

Raza Naqvi Vahi

MORE BYRaza Naqvi Vahi

    thā husn-e-ittifāq ki tea-corner meñ kal

    qismat se merī mil ga.e ik intellectual

    baiThe hue the zāviya-e-qā.ima bane

    jaise mahāz par ho koī field-marshal

    rakkhā thā portfolio bag ek mez par

    aur us se muttasil thiiñ kitābeñ double double

    moTī magazine bhī thī ik dharī huī

    jis ke sar-e-varaq pe the sir-john-michael

    yuuñ ālam-e-ḳhayāl meñ Duube hue the aap

    jaise dimāġh meñ ho kisī mas.ale hal

    uljhe hue the baal hajāmat bhī thī baḌhī

    chehre pe idda.ā-e-matānat jabīn pe bal

    maiñ ne ba-sad ḳhulūs-o-adab chaa.e pesh

    aur us ke baa'd aayā ruḳh-e-guftugū nikal

    mausam ke tazkire se chalī baat adab samt

    apnī jagah par aap har qaul thā aTal

    har baat meñ kahīñ havāla zarūr thā

    is se ġharaz na thī ki havāla ho bar-mahal

    urdu ke irtiqā taraf baat jab muḌī

    kahne lage ki tez hai raftār āj-kal

    maiñ ne kahā ki zehn abhī tak ġhulām haiñ

    jaatā nahīñ dimāġh se taqlīd ḳhalal

    afkār musta.ār haiñ taḳh.īl musta.ār

    har nukta be-maqām hai har lafz be-mahal

    tanqīd chheḌ-chhāḌ hai tahqīq khod-khād

    chalte haiñ yuuñ qalam ki chale jis tarah se hal

    afsānoñ ke mizāj meñ afsāna-pan nahīñ

    is shutr-e-be-mahār sīdhī hai kaun kal

    pariyoñ ke badle is meñ mashīnoñ naach hai

    ik Jute mill banā hai parī-ḳhāna-e-ġhazal

    pahle thā fārsī ke tatabbo par iftiḳhār

    ab maġhribī adab ġhulāmī hai be-ḳhalal

    bole fuzūl aap na bakvās kījiye

    ab kārvān-e-fikr rāheñ ga.iiñ badal

    maiñ ne kahā ki chand adīboñ naam leñ

    apnī Dagar banā ke jo chalte haiñ āj-kal

    bole ki ek monsieur-jean-paul sartre

    jis ne banā diyā hai hameñ intellectual

    aur dūsrā hai james-joyce adīb-e-asr

    purze dil-o-dimāġh ke detā hai jo badal

    maiñ ne kahā huzūr ye urdu thā savāl

    bole ki aap bahs kareñ mujh se ye majāl

    tha husn-e-ittifaq ki tea-corner mein kal

    qismat se meri mil gae ek intellectual

    baiThe hue the zawiya-e-qaima bane

    jaise mahaz par ho koi field-marshal

    rakkha tha portfolio bag ek mez par

    aur us se muttasil thin kitaben double double

    moTi si magazine bhi thi ek dhari hui

    jis ke sar-e-waraq pe the sir-john-michael

    yun aalam-e-KHayal mein Dube hue the aap

    jaise dimagh mein ho kisi masale ka hal

    uljhe hue the baal hajamat bhi thi baDhi

    chehre pe iddaa-e-matanat jabin pe bal

    main ne ba-sad KHulus-o-adab chae pesh ki

    aur us ke ba'd aaya ruKH-e-guftugu nikal

    mausam ke tazkire se chali baat adab ki samt

    apni jagah par aap ka har qaul tha aTal

    har baat mein kahin ka hawala zarur tha

    is se gharaz na thi ki hawala ho bar-mahal

    urdu ke irtiqa ki taraf baat jab muDi

    kahne lage ki tez hai raftar aaj-kal

    main ne kaha ki zehn abhi tak ghulam hain

    jata nahin dimagh se taqlid ka KHalal

    afkar mustaar hain taKHil mustaar

    har nukta be-maqam hai har lafz be-mahal

    tanqid chheD-chhaD hai tahqiq khod-khad

    chalte hain yun qalam ki chale jis tarah se hal

    afsanon ke mizaj mein afsana-pan nahin

    is shutr-e-be-mahaar ki sidhi hai kaun kal

    pariyon ke badle is mein mashinon ka nach hai

    ek Jute mill bana hai pari-KHana-e-ghazal

    pahle tha farsi ke tatabbo par iftiKHar

    ab maghribi adab ki ghulami hai be-KHalal

    bole fuzul aap na bakwas kijiye

    ab karwan-e-fikr ki rahen gain badal

    main ne kaha ki chand adibon ka nam len

    apni Dagar bana ke jo chalte hain aaj-kal

    bole ki ek monsieur-jean-paul sartre

    jis ne bana diya hai hamein intellectual

    aur dusra hai james-joyce adib-e-asr

    purze dil-o-dimagh ke deta hai jo badal

    main ne kaha huzur ye urdu ka tha sawal

    bole ki aap bahs karen mujh se ye majal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now