intibah
bolnā chhoḌ do
bolte bolte
tum kisī na kisī ke 'aqīdat-zada
dil ke jazbāt ko aag de jāoge
dekhnā chhoḌ do
dekhte dekhte
tum kisī na kisī ke garebāñ ke andar chale jāoge
sūñghnā chhoḌ do
sūñghte sūñghte
tum kisī na kisī ashraf-ul-ḳhalq ko rijs kah jāoge
khojnā chhoḌ do
khojte khojte
tum kisī na kisī ke mahal meñ lagī
apne ḳhuuñ se banī iiñT ko dekh kar
apne haq ke liye uTh ke aa jāoge
jhūmnā chhoḌ do
jhūmte jhūmte
tum kisī na kisī nafratoñ ke amiiñ ke batā.e hue
apne dushman ko insān kah jāoge
sochnā chhoḌ do
sochte sochte
tum kisī na kisī ke ḳhudā kī banā.ī huī
had se aage nikal jāoge
pūchhnā chhoḌ do
pūchhte pūchhte
tum kisī na kisī ke banā.e hue
but ḳhudā yā ḳhudā.ī kī bābat
koī baat pūchhoge to qatl ho jāoge
bolna chhoD do
bolte bolte
tum kisi na kisi ke 'aqidat-zada
dil ke jazbaat ko aag de jaoge
dekhna chhoD do
dekhte dekhte
tum kisi na kisi ke gareban ke andar chale jaoge
sunghna chhoD do
sunghte sunghte
tum kisi na kisi ashraf-ul-KHalq ko rijs kah jaoge
khojna chhoD do
khojte khojte
tum kisi na kisi ke mahal mein lagi
apne KHun se bani inT ko dekh kar
apne haq ke liye uTh ke aa jaoge
jhumna chhoD do
jhumte jhumte
tum kisi na kisi nafraton ke amin ke batae hue
apne dushman ko insan kah jaoge
sochna chhoD do
sochte sochte
tum kisi na kisi ke KHuda ki banai hui
had se aage nikal jaoge
puchhna chhoD do
puchhte puchhte
tum kisi na kisi ke banae hue
but KHuda ya KHudai ki babat
koi baat puchhoge to qatl ho jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.