Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar

Kareem Roomani

intizar

Kareem Roomani

MORE BYKareem Roomani

    raat qāfila tezī se guzar jaatā hai

    naqsh-e-pā jis ke sar-e-rāh jagmagāte the

    miTte jaate haiñ misl-e-harf-e-ġhalat āsmāñ ke saf.he se

    maiñ ik darmāñda rāh-rau tarah

    un rāhoñ meñ bichhā.e hue palkoñ ke kañval

    kab se baiThā huuñ maiñ

    yakkā tanhā

    har ik āvāz pe dil merā dhaḌak uThtā hai

    jab sabā chaltī hai ḳhushbū ko jilau meñ le kar

    un mahkī huī zulfoñ ḳhayāl aatā hai

    nazar uThā ke jo dekhā to

    duur duur talak

    un saaya pas-e-dīvār bhī aayā na nazar

    ufuq ke paar se uThtā hai mash.aloñ dhuāñ

    qāfila ho gayā āsūda-e-manzil shāyad

    chāñd sham.a bujhī

    dil diyā bujh gayā

    aur vo sub.h taarā

    mirī aashā tarah Duub gayā

    ab yahāñ koī nahīñ koī nahīñ āye.gā

    raat ka qafila tezi se guzar jata hai

    naqsh-e-pa jis ke sar-e-rah jagmagate the

    miTte jate hain misl-e-harf-e-ghalat aasman ke safhe se

    main ek darmanda rah-rau ki tarah

    un ki rahon mein bichhae hue palkon ke kanwal

    kab se baiTha hun main

    yakka tanha

    har ek aawaz pe dil mera dhaDak uThta hai

    jab saba chalti hai KHushbu ko jilau mein le kar

    un ki mahki hui zulfon ka KHayal aata hai

    nazar uTha ke jo dekha to

    dur dur talak

    un ka saya pas-e-diwar bhi aaya na nazar

    ufuq ke par se uThta hai mashalon ka dhuan

    qafila ho gaya aasuda-e-manzil shayad

    chand ki shama bujhi

    dil ka diya bujh sa gaya

    aur wo subh ka tara

    meri aasha ki tarah Dub gaya

    ab yahan koi nahin koi nahin aayega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now