Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar

Ghalib Ahmad

intizar

Ghalib Ahmad

MORE BYGhalib Ahmad

    sab sitāre chāñd sūraj phuul phal ga.e

    kab kahāñ aur kaun ke sab silsile ab ḳhatm haiñ

    vaqt par maut aa ga.ī mausam badal ga.e

    vaqt lamha-e-fānī le gayā sab raushnī aur rang-o-bū

    ab na pyāla hai na paanī

    ek korā āsmāñ hai

    be-dar-o-dīvār rauzan aur benām-o-nishāñ

    shakl aur shīshe ārā.ish manzar bhī nahīñ

    nuur nazreñ bhī patthar ho ga.iiñ

    ab raho tum muntazir

    ḳhāk-o-ḳhūñ chāshnī meñ kaun ab lā.egā vasl-o-hijr ke mausam yahāñ

    ab vo gum-gashta ḳhazīnoñ ḳhabar

    phuul pattī meñ larzāñ phir na dekhoge kabhī

    ye ḳhayāl-o-ḳhvāb ḳhākistarī ḳhabroñ ke din

    aur ḳhvābīda nashe meñ lauTtī rātoñ battiyāñ gul huiiñ

    ḳhāk-dāñ sab jal-bujhe

    ḳhuun holī ke khel

    terī merī zid ke saare mel-jol

    vasl sab qurbateñ aur hijr ke sab fāsle

    sab sadā.eñ aur sadiyāñ mausamoñ ke qāfile

    Dhal Dhalā kar rang āmezishoñ ke saa.e meñ

    tere mere sar se saare vaar kar

    chāñdnī aur dhuup ke in nuqra.ī sikkoñ ruup

    le uḌe haiñ kāġhazī pairāhanoñ ke dosh par

    terī merī kulfatoñ aur ulfatoñ dāstāñ

    qāfiloñ vaqt ab baaqī nahīñ

    chhoḌ do paimā.ish-e-sūd-o-ziyāñ

    daur ab reg-e-ravāñ ḳhatm hai

    vaqt vaqfa nayā aa.egā bhī

    phir bisāt-e-dil bichhā.eñge na.ī

    phir khilegā mausam-e-gul bhī nayā

    bāñdh rakh raḳht-e-safar

    ai ham-safar

    maiñ vahī musht-e-ġhubār-e-rah-guzar

    huuñ muntazir

    sab sitare chand suraj phul phal gae

    kab kahan aur kaun ke sab silsile ab KHatm hain

    waqt par maut aa gai mausam badal gae

    waqt ka lamha-e-fani le gaya sab raushni aur rang-o-bu

    ab na pyala hai na pani

    ek kora aasman hai

    be-dar-o-diwar rauzan aur benam-o-nishan

    shakl aur shishe ki aaraish ka manzar bhi nahin

    nur ki nazren bhi patthar ho gain

    ab raho tum muntazir

    KHak-o-KHun ki chashni mein kaun ab laega wasl-o-hijr ke mausam yahan

    ab wo gum-gashta KHazinon ki KHabar

    phul ki patti mein larzan phir na dekhoge kabhi

    ye KHayal-o-KHwab ki KHakistari KHabron ke din

    aur KHwabida nashe mein lauTti raaton ki battiyan gul huin

    KHak-dan sab jal-bujhe

    KHun ki holi ke khel

    teri meri zid ke sare mel-jol

    wasl ki sab qurbaten aur hijr ke sab fasle

    sab sadaen aur sadiyan mausamon ke qafile

    Dhal Dhala kar rang ki aamezishon ke sae mein

    tere mere sar se sare war kar

    chandni aur dhup ke in nuqrai sikkon ka rup

    le uDe hain kaghazi pairahanon ke dosh par

    teri meri kulfaton aur ulfaton ki dastan

    qafilon ka waqt ab baqi nahin

    chhoD do paimaish-e-sud-o-ziyan

    daur ab reg-e-rawan ka KHatm hai

    waqt ka waqfa naya aaega bhi

    phir bisat-e-dil bichhaenge nai

    phir khilega mausam-e-gul bhi naya

    bandh rakh raKHt-e-safar

    ai ham-safar

    main wahi musht-e-ghubar-e-rah-guzar

    hun muntazir

    Source:

    (Pg. 59)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now