Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar

MORE BYFazal Haq Azimabadi

    terī justujū mujhe terā intizār hai

    tujh se bichhaḌ ke ai sanam chain hai na qarār hai

    terī sadā.eñ kaan meñ guuñj rahī haiñ baar baar

    sāz-e-hayāt mire chheḌā hai ne taar taar

    kitne din guzar ga.e aa.e hazāroñ inqalāb

    āñkheñ taras ke rah ga.iiñ TuuT ga.e hasīn ḳhvāb

    bāġh-e-shabāb meñ mire aa ke ga.ī bahār bhī

    phuul khile bikhar ga.e ruḳhsat huā qarār bhī

    kaagā ke kaa.eñ kaa.eñ se dil ko to aas bhī huī

    jo kahā papīhe ne dil mire ḳhalish baḌhī

    jūñ-hī kisī ne sadā dauḌ ke sū-e-dar gayā

    dhak se huā hai dil mirā jab bhī koī Thahar gayā

    diiñ jo kisī ne thapkiyāñ mere dar-o-dīvār meñ

    tūfāñ uTh ke rah gayā bāda-e-intizār meñ

    terī yaad meñ sanam dil ye hāl-e-zār hai

    tere hijr meñ mujhe jiinā bhī nāgavār hai

    ḳhāna-ḳharāb ho ke maiñ ḳhuub dar-ba-dar huā

    musht-e-ġhubār bhī banā zarra-e-rahguzar huā

    ashk bhī ḳhushk ho chuke bujh bhī chukī nazar pyaas

    sab to huā magar kabhī puurī huī na merī aas

    terī talāsh chār-sū mujh ko to sub.h-o-shām hai

    rātoñ niiñd terī yādoñ se ab harām hai

    ab maiñ karūñ to kyā karūñ koī mujhe batā.e to

    kis se kahūñ kidhar phirūñ jā.ūñ kahāñ batā.e to

    ab bhī vahī junūn hai ab bhī vahī ḳhumār hai

    pahle bhī intizār thā aaj bhī intizār hai

    teri hi justuju mujhe tera hi intizar hai

    tujh se bichhaD ke ai sanam chain hai na qarar hai

    teri sadaen kan mein gunj rahi hain bar bar

    saz-e-hayat ka mere chheDa hai tu ne tar tar

    kitne hi din guzar gae aae hazaron inqalab

    aankhen taras ke rah gain TuT gae hasin KHwab

    bagh-e-shabab mein mere aa ke gai bahaar bhi

    phul khile bikhar gae ruKHsat hua qarar bhi

    kaga ke kaen kaen se dil ko to aas bhi hui

    pi jo kaha papihe ne dil ki mere KHalish baDhi

    jun-hi kisi ne di sada dauD ke su-e-dar gaya

    dhak se hua hai dil mera jab bhi koi Thahar gaya

    din jo kisi ne thapkiyan mere dar-o-diwar mein

    tufan sa uTh ke rah gaya baada-e-intizar mein

    teri hi yaad mein sanam dil ka ye haal-e-zar hai

    tere hi hijr mein mujhe jina bhi nagawar hai

    KHana-KHarab ho ke main KHub hi dar-ba-dar hua

    musht-e-ghubar bhi bana zarra-e-rahguzar hua

    ashk bhi KHushk ho chuke bujh bhi chuki nazar ki pyas

    sab to hua magar kabhi puri hui na meri aas

    teri talash chaar-su mujh ko to subh-o-sham hai

    raaton ki nind teri hi yaadon se ab haram hai

    ab main karun to kya karun koi mujhe batae to

    kis se kahun kidhar phirun jaun kahan batae to

    ab bhi wahi junun hai ab bhi wahi KHumar hai

    pahle bhi intizar tha aaj bhi intizar hai

    Source:

    Jazbat-e-Shahid (Pg. 42)

    • Author: Fazal Haq Azimabadi
      • Publisher: Mohammad Tauheed Anwar
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now