irfan
sho'la-zan un ke lahū meñ hai jalāl-e-mahmūd
aaj tak jo tah-e-mehrāb rahe vaqf-e-sujūd
ai ki mā'lūm nahīñ tujh ko ḳhudī kā maqsūd
ātishīñ-‘azm se hai mā’rka-e-būd-o-nabūd
'ishq-o-mastī hama-tan dabdaba-hā-e-mahmūd
paak hai asvad-o-ahmar se shabistān-e-vajūd
zindagī jis se laraztī hai ḳhalīlullāhī
ho ḳharāb-e-zan-o-taḳhmīñ to hai nār-e-namrūd
mujh se naumīdī-e-nazzāra-e-anvār na pūchh
ab mirā jazb-e-darūñ bhī hai pashemān-e-numūd
ek tasvīr ke do ruḳh haiñ jalāl aur jamāl
vahī gulzār-e-ḳhalīl aur vahī nār-e-namrūd
tū hai nā-mahram-e-tāb-o-tap-e-bātin varna
terī aahoñ se pighal jaa.e sitāroñ kā vujūd
sīna-e-lāla ho yā ā.ina-zār-e-shabnam
DhūñD letī hai nazar jalva-gah-e-lā-maujūd
ek hangāma-e-‘irfān-o-tajassus ke baġhair
ziist be-kār yaqīñ ḳhaam namāzeñ be-sūd
sho'la-zan un ke lahu mein hai jalal-e-mahmud
aaj tak jo tah-e-mehrab rahe waqf-e-sujud
ai ki ma'lum nahin tujh ko KHudi ka maqsud
aatishin-‘azm se hai ma’rka-e-bud-o-nabud
'ishq-o-masti hama-tan dabdaba-ha-e-mahmud
pak hai aswad-o-ahmar se shabistan-e-wajud
zindagi jis se larazti hai KHalilullahi
ho KHarab-e-zan-o-taKHmin to hai nar-e-namrud
mujh se naumidi-e-nazzara-e-anwar na puchh
ab mera jazb-e-darun bhi hai pasheman-e-numud
ek taswir ke do ruKH hain jalal aur jamal
wahi gulzar-e-KHalil aur wahi nar-e-namrud
tu hai na-mahram-e-tab-o-tap-e-baatin warna
teri aahon se pighal jae sitaron ka wujud
sina-e-lala ho ya aaina-zar-e-shabnam
DhunD leti hai nazar jalwa-gah-e-la-maujud
ek hangama-e-‘irfan-o-tajassus ke baghair
zist be-kar yaqin KHam namazen be-sud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.