Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ahd ki be-his saaton ke nam

Tabassum Kashmiri

is ahd ki be-his saaton ke nam

Tabassum Kashmiri

MORE BYTabassum Kashmiri

    yahāñ ab ek taara

    zard taara bhī nahīñ baaqī

    yahāñ ab āsmāñ ke

    chīthaḌoñ phaḌphaḌāhaT bhī nahīñ baaqī

    yahāñ par saare sūraj

    taare sūraj

    tairte aflāk se gir kar

    kisī pātāl meñ gum haiñ

    yahāñ ab saare sayyāroñ gardish

    ruk ga.ī hai

    yahāñ ab raushnī hai

    aur na āvāzoñ larzish hai

    na jismoñ meñ harakat hai

    yahāñ par ab faqat

    ik ḳhāmushī phaḌphaḌāhaT hai

    yahan ab ek tara

    zard tara bhi nahin baqi

    yahan ab aasman ke

    chithaDon ki phaDphaDahaT bhi nahin baqi

    yahan par sare suraj

    tare suraj

    tairte aflak se gir kar

    kisi patal mein gum hain

    yahan ab sare sayyaron ki gardish

    ruk gai hai

    yahan ab raushni hai

    aur na aawazon ki larzish hai

    na jismon mein hi harakat hai

    yahan par ab faqat

    ek KHamushi ki phaDphaDahaT hai

    Source:

    Prindey,phool taalab (Pg. 150)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now