Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is shahr mein ab aaina-samani karo ho

Asra Rizvi

is shahr mein ab aaina-samani karo ho

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    is shahr meñ ab ā.ina-sāmānī karo ho

    tum jis pe azal se hukmrānī karo ho

    ik arsa huā kūcha-e-jānāñ huā vīrān

    phir bhī tum isī shahr nigarānī karo ho

    phuul ugte the jis vahīñ ug aa.eñ haiñ kāñTe

    kyā aise gulistāñ nigahbānī karo ho

    har baat sar-e-bazm bhalā kartā hai koī

    kyuuñ apne jazbāt uryānī karo ho

    paḌ jaa.eñ haiñ afkār meñ shub.hāt girheñ

    jab baat bhī tum sūrat-e-yazdānī karo ho

    dikhlāo ho ummīd ko mauhūm ik lau

    so.e hue jazbāt meñ tuġhyānī karo ho

    dushman pe bhī tum chashm-e-karam rakkho ho apnī

    kis shaan se tum us bhī mehmānī karo ho

    kyā baat hai kyuuñ badle hue rakkho ho tevar

    kyuuñ mere har ik lafz ko isyānī karo ho

    uTh jaa.eñ jo is dar se batāo to kahāñ jaa.eñ

    kyā faisla haq meñ mire irfānī karo ho

    hastī ġham-e-daurāñ meñ miTā do ho tum apnī

    phir dil ko faqat nazr-e-pashemānī karo ho

    hairān hai ulfat ki is uslūb pe 'asrā'

    kyā roko ho kaahe farāvānī karo ho

    is shahr mein ab aaina-samani karo ho

    tum jis pe azal se hi hukmrani karo ho

    ek arsa hua kucha-e-jaanan hua viran

    phir bhi tum isi shahr ki nigarani karo ho

    phul ugte the jis ja wahin ug aaen hain kanTe

    kya aise gulistan ki nigahbani karo ho

    har baat sar-e-bazm bhala karta hai koi

    kyun apne hi jazbaat ki uryani karo ho

    paD jaen hain afkar mein shubhat ki girhen

    jab baat bhi tum surat-e-yazdani karo ho

    dikhlao ho ummid ko mauhum si ek lau

    soe hue jazbaat mein tughyani karo ho

    dushman pe bhi tum chashm-e-karam rakkho ho apni

    kis shan se tum us ki bhi mehmani karo ho

    kya baat hai kyun badle hue rakkho ho tewar

    kyun mere har ek lafz ko isyani karo ho

    uTh jaen jo is dar se batao to kahan jaen

    kya faisla haq mein mere irfani karo ho

    hasti gham-e-dauran mein miTa do ho tum apni

    phir dil ko faqat nazr-e-pashemani karo ho

    hairan hai ulfat ki is uslub pe 'asra'

    kya roko ho kahe ki farawani karo ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now