ishq aazad hai
mohabbat meñ bosa zarūrī nahīñ
zarūrī nahīñ tum ki kaliyoñ ko chāho
aur us par ye chāho
ki vo bhī jahāñ par rukī haiñ
rukī na raheñ
mohabbat kā matlab ye hargiz nahīñ
parindoñ ko piñjre meñ pakḌe rakho
un ke par kaaT lo
phuul ḳhushbū na de to vo kis kaam kā
bin paroñ ke parinde
parinde nahīñ
jism kī talab to mohabbat nahīñ
lams kī tamanna to ulfat nahīñ
'ishq ko jism kī ek zarra barābar zarūrat nahīñ
mohabbat mein bosa zaruri nahin
zaruri nahin tum ki kaliyon ko chaho
aur us par ye chaho
ki wo bhi jahan par ruki hain
ruki na rahen
mohabbat ka matlab ye hargiz nahin
parindon ko pinjre mein pakDe rakho
un ke par kaT lo
phul KHushbu na de to wo kis kaam ka
bin paron ke parinde
parinde nahin
jism ki talab to mohabbat nahin
lams ki tamanna to ulfat nahin
'ishq ko jism ki ek zarra barabar zarurat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.