Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq aslahon ki zad par

Khalid Mubashshir

ishq aslahon ki zad par

Khalid Mubashshir

MORE BYKhalid Mubashshir

    maiñ sarāpā ishq merī jaañ ke darpai hai sabhī kuchh

    mere andar aur bāhar aslahoñ garm-bāzārī hai har

    ye hilāl-e-nau kisī ke hijr ḳhanjar hai shāyad

    ye ghaḌī dīvār har lamha mujh ko kāTtī hai

    yaad barchhī mire siine pe hamla-zan hai har dam

    intizār aisā sulagtā hai mire atrāf-e-jāñ meñ

    ātishīñ-bārūd jaltā huā ho Dher jaise

    merī sāñsoñ meñ kisī be-ruḳhī āriyāñ chal rahī haiñ

    merī dhaḌkan taḌap meñ raqs-e-bismil samāñ hai

    jaise dil par bevafā.ī chhurī pherī ga.ī ho

    jab bhī purvā.ī chale to aisā lagtā hai ki topoñ ke dahāne khul ga.e haiñ

    maiñ sarāpā ishq merī jaañ ke darpai hai sabhī kuchh

    main sarapa ishq meri jaan ke darpai hai sabhi kuchh

    mere andar aur bahar aslahon ki garm-bazari hai har su

    ye hilal-e-nau kisi ke hijr ka KHanjar hai shayad

    ye ghaDi diwar ki har lamha mujh ko kaTti hai

    yaad ki barchhi mere sine pe hamla-zan hai har dam

    intizar aisa sulagta hai mere atraf-e-jaan mein

    aatishin-barud ka jalta hua ho Dher jaise

    meri sanson mein kisi ki be-ruKHi ki aariyan si chal rahi hain

    meri dhaDkan ki taDap mein raqs-e-bismil ka saman hai

    jaise dil par bewafai ki chhuri pheri gai ho

    jab bhi purwai chale to aisa lagta hai ki topon ke dahane khul gae hain

    main sarapa ishq meri jaan ke darpai hai sabhi kuchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now