Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-mamnua

Komal Raja

ishq-e-mamnua

Komal Raja

MORE BYKomal Raja

    vo mujh se milā magar

    qurb-o-dūrī is nahaj par

    jahāñ amānat meñ ḳhayānat ḳhauf rahā

    jahāñ chāshnī aisā daur thā

    ki na din guzarne ilm na raat patā

    jahāñ supurdagī vo aalam thā

    ki do jism ek jaan mo.āmla

    magar ajab ek rakh-rakhāv rahā

    ham donoñ ke darmiyān

    na vo dariyā ke paar utrā

    na maiñ ne khole bādbān

    goyā mere aur us ke biich

    chand farlāñg adab duurī ho

    us ke andar jhāñknā jaise

    koī nā-qābil-e-muāfī chorī ho

    jaise muqaddas kitāboñ jānib

    be-vuzū baḌhtā huā haath

    ehtirāman rok le koī

    jaise sirhāne pe paḌtā huā paañv

    ehtiyātan thaam le koī

    jaise ulTe paḌe hue juute samt

    fauran ruḳh āsmān se moḌ le koī

    goyā us vajūd kisī muqaddas shai mānind thā

    jis ko ġhair qasdan chhūnā bhī gunāh ho

    goyā us zaat meñ safar karnā to halāl thā

    magar us ke dil meñ ghar karnā harām ho

    vo mujh se milā magar

    qurb-o-dūrī us nahaj par

    jahāñ amānat meñ ḳhayānat ḳhauf rahā

    wo mujh se mila magar

    qurb-o-duri ki is nahaj par

    jahan amanat mein KHayanat ka KHauf raha

    jahan chashni ka aisa daur tha

    ki na din guzarne ka ilm na raat ka pata

    jahan supurdagi ka wo aalam tha

    ki do jism ek jaan ka moamla

    magar ajab sa ek rakh-rakhaw raha

    hum donon ke darmiyan

    na wo dariya ke par utra

    na main ne khole baadban

    goya mere aur us ke bich

    chand farlang adab ki duri ho

    us ke andar jhankna jaise

    koi na-qabil-e-muafi chori ho

    jaise muqaddas kitabon ki jaanib

    be-wuzu baDhta hua hath

    ehtiraman rok le koi

    jaise sirhane pe paDta hua panw

    ehtiyatan tham le koi

    jaise ulTe paDe hue jute ki samt

    fauran ruKH aasman se moD le koi

    goya us ka wajud kisi muqaddas shai ki manind tha

    jis ko ghair qasdan chhuna bhi gunah ho

    goya us ki zat mein safar karna to halal tha

    magar us ke dil mein ghar karna haram ho

    wo mujh se mila magar

    qurb-o-duri ki us nahaj par

    jahan amanat mein KHayanat ka KHauf raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now