Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

israfil ki maut

Translated By: M.A.R Habib

Noon Meem Rashid

Noon Meem Rashid

israfil ki maut

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    marg-e-isrāfīl par aañsū bahāo

    vo ḳhudāoñ muqarrab vo ḳhudāvand-e-kalām

    saut-e-insānī rūh-e-jāvedāñ

    āsmānoñ nidā-e-be-karāñ

    aaj sākit misl-e-harf-e-nā-tamām

    marg-e-isrāfīl par aañsū bahāo

    aao isrāfīl ke is ḳhvāb-e-be-hañgām par aañsū bahā.eñ

    āramīda hai vo yuuñ qarnā ke paas

    jaise tūfāñ ne kināre par ugal Daalā use

    reg-e-sāhil par chamaktī dhuup meñ chup chaap

    apne suur ke pahlū meñ vo ḳhvābīda hai

    us dastār us ke gesū us riish

    kaise ḳhāk-ālūda haiñ

    the kabhī jin taheñ būd-o-nabūd

    kaise is suur is ke lab se duur

    apnī chīḳhoñ apnī fariyādoñ meñ gum

    jhilmilā uThte the jis se dair-o-zūd

    marg-e-isrāfīl par aañsū bahāo

    vo mujassam hamhama thā vo mujassam zamzama

    vo azal se abad phailī huī ġhaibī sadāoñ nishāñ

    marg-e-isrāfīl se

    halqa dar halqa farishte nauha gar

    ibn-e-ādam zulf-dar-ḳhāk-o-nazār

    hazrat-e-yazdāñ āñkheñ ġham se taar

    āsmānoñ safīr aatī nahīñ

    ālam-e-lāhūt se koī nafīr aatī nahīñ

    marg-e-isrāfīl se

    is jahāñ par band āvāzoñ rizq

    mutriboñ rizq aur sāzoñ rizq

    ab muġhannī kis tarah gā.egā aur gā.egā kyā

    sunñe vāloñ ke diloñ ke taar chup

    ab koī raqqās kyā thirkegā lahrā.egā kyā

    bazm ke farsh-o-dar-o-dīvār chup

    ab ḳhatīb-e-shahr farmā.egā kyā

    masjidoñ ke āstān-o-gumbad-o-mīnār chup

    fikr sayyād apnā daam phailā.egā kyā

    tā.irān-e-manzil-o-kohsār chup

    marg-e-isrāfīl hai

    gosh-e-shanvā lab-e-goyā maut

    chashm-e-bīnā dil-e-dānā maut

    thī isī ke dam se durveshoñ saarī hāv-hū

    ahl-e-dil ahl-e-dil se guftugū

    ahl-e-dil jo aaj gosha-gīr-o-surma-dar-gulū

    ab tanā tā-hū bhī ġhā.eb aur yā-rab bhī gum

    ab galī kūchoñ har aavā bhī gum

    ye hamārā āḳhirī maljā bhī gum

    marg-e-isrāfīl se

    is jahāñ vaqt jaise so gayā pathrā gayā

    jaise koī saarī āvāzoñ ko yaksar khā gayā

    aisī tanhā.ī ki husn-e-tām yaad aatā nahīñ

    aisā sannāTā ki apnā naam yaad aatā nahīñ

    marg-e-isrāfīl se

    dekhte rah jā.eñge duniyā ke aamir bhī

    zabāñ-bandī ke ḳhvāb

    jis meñ majbūroñ sargoshī to ho

    us ḳhudāvandī ke ḳhvāb

    The Death of Israphaeli

    marg-e-israfil par aansu bahao

    wo KHudaon ka muqarrab wo KHudawand-e-kalam

    saut-e-insani ki ruh-e-jawedan

    aasmanon ki nida-e-be-karan

    aaj sakit misl-e-harf-e-na-tamam

    marg-e-israfil par aansu bahao

    aao israfil ke is KHwab-e-be-hangam par aansu bahaen

    aaramida hai wo yun qarna ke pas

    jaise tufan ne kinare par ugal Dala use

    reg-e-sahil par chamakti dhup mein chup chap

    apne sur ke pahlu mein wo KHwabida hai

    us ki dastar us ke gesu us ki rish

    kaise KHak-aluda hain

    the kabhi jin ki tahen bud-o-nabud

    kaise is ka sur is ke lab se dur

    apni chiKHon apni fariyaadon mein gum

    jhilmila uThte the jis se dair-o-zud

    marg-e-israfil par aansu bahao

    wo mujassam hamhama tha wo mujassam zamzama

    wo azal se ta abad phaili hui ghaibi sadaon ka nishan

    marg-e-israfil se

    halqa dar halqa farishte nauha gar

    ibn-e-adam zulf-dar-KHak-o-nazar

    hazrat-e-yazdan ki aankhen gham se tar

    aasmanon ki safir aati nahin

    aalam-e-lahut se koi nafir aati nahin

    marg-e-israfil se

    is jahan par band aawazon ka rizq

    mutribon ka rizq aur sazon ka rizq

    ab mughanni kis tarah gaega aur gaega kya

    sunne walon ke dilon ke tar chup

    ab koi raqqas kya thirkega lahraega kya

    bazm ke farsh-o-dar-o-diwar chup

    ab KHatib-e-shahr farmaega kya

    masjidon ke aastan-o-gumbad-o-minar chup

    fikr ka sayyaad apna dam phailaega kya

    tairan-e-manzil-o-kohsar chup

    marg-e-israfil hai

    gosh-e-shanwa ki lab-e-goya ki maut

    chashm-e-bina ki dil-e-dana ki maut

    thi isi ke dam se durweshon ki sari haw-hu

    ahl-e-dil ki ahl-e-dil se guftugu

    ahl-e-dil jo aaj gosha-gir-o-surma-dar-gulu

    ab tana ta-hu bhi ghaeb aur ya-rab ha bhi gum

    ab gali kuchon ki har aawa bhi gum

    ye hamara aaKHiri malja bhi gum

    marg-e-israfil se

    is jahan ka waqt jaise so gaya pathra gaya

    jaise koi sari aawazon ko yaksar kha gaya

    aisi tanhai ki husn-e-tam yaad aata nahin

    aisa sannaTa ki apna nam yaad aata nahin

    marg-e-israfil se

    dekhte rah jaenge duniya ke aamir bhi

    zaban-bandi ke KHwab

    jis mein majburon ki sargoshi to ho

    us KHudawandi ke KHwab

    The Death of Israphaeli

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now