Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

istiqbaal

Akhtar Payami

istiqbaal

Akhtar Payami

MORE BYAkhtar Payami

    ubal rahā hai tarannum chhalak rahī hai sharāb

    piyo piyo ki na.e saal kiran phūTī

    magar ye kaun hai har baar mujh se kahtā hai

    tirā ḳhumār bhī jhūTā sharāb bhī jhūTī

    vo dekho bint-e-kalīsā nīlgūñ āñkheñ

    jhukī jhukī haiñ palkeñ magar subū degī

    ye chīḳh haañ ye tamaddun ek hichkī thī

    isī dayār meñ insāniyat lahū degī

    magar lahū to Tapaktā hai surḳh Doroñ se

    usī lahū meñ sharābor haiñ lab-o-ruḳhsār

    magar ye kis lahū hai jo mujh se kahtā hai

    mire ubaal se baḌhtā hai zindagī vaqār

    sukūn sabr qanā.at najāt taqdīreñ

    ye borzā.ī tamaddun istelāheñ haiñ

    qadam uThe haiñ to manzil pe ke dam leñge

    mirī nigāh meñ duniyā shāhrāheñ haiñ

    maiñ jāntā huuñ ye tahzīb nahīñ saktī

    yahīñ hayāt zaḳhmī sukūt TūTegā

    kaho kaho mire jāñ-bāz sāthiyoñ se kaho

    isī ufuq pe nayā āftāb ubhregā

    ubal raha hai tarannum chhalak rahi hai sharab

    piyo piyo ki nae sal ki kiran phuTi

    magar ye kaun hai har bar mujh se kahta hai

    tera KHumar bhi jhuTa sharab bhi jhuTi

    wo dekho bint-e-kalisa ki nilgun aankhen

    jhuki jhuki si hain palken magar subu degi

    ye chiKH han ye tamaddun ki ek hichki thi

    isi dayar mein insaniyat lahu degi

    magar lahu to Tapakta hai surKH Doron se

    usi lahu mein sharabor hain lab-o-ruKHsar

    magar ye kis ka lahu hai jo mujh se kahta hai

    mere ubaal se baDhta hai zindagi ka waqar

    sukun sabr qanaat najat taqdiren

    ye borzai tamaddun ki istelahen hain

    qadam uThe hain to manzil pe ja ke dam lenge

    meri nigah mein duniya ki shahrahen hain

    main jaanta hun ye tahzib ji nahin sakti

    yahin hayat ka zaKHmi sukut TuTega

    kaho kaho mere jaan-baz sathiyon se kaho

    isi ufuq pe naya aaftab ubhrega

    Source:

    Aina Khane (Pg. 109)

    • Author: Akhtar payami
      • Edition: 2004
      • Publisher: Zain Publications
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now