Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itwar ki dopahar

Geetanjali Rai

itwar ki dopahar

Geetanjali Rai

MORE BYGeetanjali Rai

    itvār dopahar to hamesha achchhī hotī hai

    bilkul tumhārī tarah

    be-fikr be-parvāh āzād

    maiñ ne bhī hamesha ise apne tarīqe se bitāyā hai

    par jaane kyuuñ

    kuchh arse se jab bhī ye sukūn bharā vaqt apne saath bitāne koshish

    tum dūr-darāz ke vaqtoñ se nikal ke chup-chāp mere qarīb baiTh jaate ho

    mere hāthoñ khulī kitāb band kar ke

    apne qisse sunāne lagte ho

    december sardī

    bārish būñde

    aur itvār dopahar

    vahī qissa jo tum ne jiyā thā kabhī

    mere saath

    lag-bhag har hafte dohrāte ho

    aur mujhe ehsās bhī nahīñ hotā ki maiñ qaid huuñ

    kuchh āzād se lamhoñ meñ hamesha ke liye

    itwar ki dopahar to hamesha hi achchhi hoti hai

    bilkul tumhaari tarah

    be-fikr be-parwah aazad

    main ne bhi hamesha ise apne hi tariqe se bitaya hai

    par jaane kyun

    kuchh arse se jab bhi ye sukun bhara waqt apne sath bitane ki koshish ki

    tum dur-daraaz ke waqton se nikal ke chup-chap mere qarib baiTh jate ho

    mere hathon ki khuli kitab band kar ke

    apne hi qisse sunane lagte ho

    december ki sardi

    barish ki bunde

    aur itwar ki dopahar

    wahi qissa jo tum ne jiya tha kabhi

    mere sath

    lag-bhag har hafte dohraate ho

    aur mujhe ehsas bhi nahin hota ki main qaid hun

    kuchh aazad se lamhon mein hamesha ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now