Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

izhaar-e-mohabbat ek pahaDi rasta hai

Salman Basit

izhaar-e-mohabbat ek pahaDi rasta hai

Salman Basit

MORE BYSalman Basit

    use bas ek zid hai

    maiñ us zaat se mansūb

    apne ḳhayāloñ koī paikar tarāshūñ

    aur us ke sāmne rakh duuñ

    use batlā.ūñ maiñ us se mujhe kitnī mohabbat hai

    use kaise batā.ūñ maiñ

    zamīñ se āsmāñ tak is muhīt-e-be-karāñ ko

    apnī muTThī meñ jakaḌnā mere bas meñ nahīñ hai

    mire sar par chamakte mehrbāñ sūraj kirnoñ

    koī bhī goshvāra ban nahīñ saktā

    zamīñ god meñ kitne samundar haiñ

    kināroñ par namīda ret ke zarrāt haiñ

    maiñ un ko adadī dastaras meñ kis tarah kar luuñ

    bhalā maiñ lā-makāñ vus.atoñ ko

    is makāñ meñ kis tarah lā.ūñ

    jo qudrat ne hamesha an-kahā rakkhā

    us ko kis tarah kah duuñ

    ki titlī ko pakaḌ lene

    ḳhushbū ko jakaḌ lene

    fan mujh ko nahīñ aatā

    use kaise batā.ūñ maiñ

    ki iz.hār-e-mohabbat ik pahāḌī rāsta hai

    aur choTī tak pahuñchne mujhe gur nahīñ aatā

    use bas ek hi zid hai

    main us ki zat se mansub

    apne KHayalon ka koi paikar tarashun

    aur us ke samne rakh dun

    use batlaun main us se mujhe kitni mohabbat hai

    use kaise bataun main

    zamin se aasman tak is muhit-e-be-karan ko

    apni muTThi mein jakaDna mere bas mein hi nahin hai

    mere sar par chamakte mehrban suraj ki kirnon ka

    koi bhi goshwara ban nahin sakta

    zamin ki god mein kitne samundar hain

    kinaron par namida ret ke zarraat hain

    main un ko adadi dastaras mein kis tarah kar lun

    bhala main la-makan ki wusaton ko

    is makan mein kis tarah laun

    jo qudrat ne hamesha an-kaha rakkha

    us ko kis tarah kah dun

    ki titli ko pakaD lene ka

    KHushbu ko jakaD lene ka

    fan mujh ko nahin aata

    use kaise bataun main

    ki izhaar-e-mohabbat ek pahaDi rasta hai

    aur choTi tak pahunchne ka mujhe gur hi nahin aata

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now