aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jadu nagri

Azra Naqvi

jadu nagri

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    zindagī talḳhiyāñ nākāmiyāñ TuuTe hue

    ḳhvāboñ kircheñ

    roz-o-shab ko muzmahil kar deñ

    to mere saath aao

    zarā Thahro

    maiñ apnī jādū-nagrī jhalak dikhlā.ūñ tum ko

    vo dekho kis tarah se āsmāñ ke canvas par bādaloñ raqs hotā hai

    kabhī tum ne ghane jañgal meñ shāḳhoñ se Tapakte shabnamī motī nahīñ dekhe

    kabhī sarmā rut meñ barf chādar pe bikhrī chāñd ruupā nahīñ dekhī

    kabhī gandum ke khetoñ meñ ugā sonā nahīñ dekhā

    kabhī ūñchī chaTānoñ kohsāroñ se ga.ī sadiyoñ ke afsāne sune tum ne

    kisī gambhīr sāhil se nahīñ dekhā

    ki kaise chīḳhtā biphrā samundar dhīre dhīre shānt hotā hai

    kabhī ma.asūm bachchoñ hañsī ke nuqra.ī ghuñgrū sameTe haiñ

    kabhī chāhat ke hoñToñ se kisī jalte hue māthe ko chūmā hai

    zarā socho

    ki tum ne maañ lorī halāvat

    ḳhāndānoñ sharāfat

    pyaar rāhat nahīñ paa.ī

    zarā socho

    ye saarī jādū-nagrī mehrbāñ duniyā tumhārī hai

    zindagi ki talKHiyan nakaamiyan TuTe hue

    KHwabon ki kirchen

    roz-o-shab ko muzmahil kar den

    to mere sath aao

    zara Thahro

    main apni jadu-nagri ki jhalak dikhlaun tum ko

    wo dekho kis tarah se aasman ke canwas par baadalon ka raqs hota hai

    kabhi tum ne ghane jangal mein shaKHon se Tapakte shabnami moti nahin dekhe

    kabhi sarma ki rut mein barf ki chadar pe bikhri chand ki rupa nahin dekhi

    kabhi gandum ke kheton mein uga sona nahin dekha

    kabhi unchi chaTanon kohsaron se gai sadiyon ke afsane sune tum ne

    kisi gambhir sahil se nahin dekha

    ki kaise chiKHta biphra samundar dhire dhire shant hota hai

    kabhi masum bachchon ki hansi ke nuqrai ghungru sameTe hain

    kabhi chahat ke honTon se kisi jalte hue mathe ko chuma hai

    zara socho

    ki tum ne man ki lori ki halawat

    KHandanon ki sharafat

    pyar ki rahat nahin pai

    zara socho

    ye sari jadu-nagri mehrban duniya tumhaari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now