Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jamid lamhon ke sae

Perwaiz Shaharyar

jamid lamhon ke sae

Perwaiz Shaharyar

MORE BYPerwaiz Shaharyar

    cholā badalne se

    ḳhaslat nahīñ badaltī logo

    tum apne sehhat-mand jism par chāhe kitnā

    ġhāza mal lo

    us se ruuh ke zaḳhm kabhī bhar nahīñ sakte

    ruuh pyaas bujhāne ke liye

    tumheñ in miTTī se ubalte hue chashmoñ

    zarūrat hogī ek din

    ḳhushbū ban kar ākāsh par uḌne vāloñ ko bhī

    abadī sukūn miTTī ke bistaroñ pe milā kartā hai

    vaqt Thahar jaatā hai

    jahāñ jāmid lamhoñ ke saa.e meñ

    milte haiñ do pyār-bhare dil taḳhlīq-e-nau ḳhumār liye

    vahī sach hai

    vahī taqve aslī jahāñ

    vahī hai ḳhudā azlī makāñ

    chola badalne se

    KHaslat nahin badalti logo

    tum apne sehhat-mand jism par chahe kitna hi

    ghaza mal lo

    us se ruh ke zaKHm kabhi bhar nahin sakte

    ruh ki pyas bujhane ke liye

    tumhein in hi miTTi se ubalte hue chashmon ki

    zarurat hogi ek din

    KHushbu ban kar aakash par uDne walon ko bhi

    abadi sukun miTTi ke hi bistaron pe mila karta hai

    waqt Thahar jata hai

    jahan jamid lamhon ke sae mein

    milte hain do pyar-bhare dil taKHliq-e-nau ka KHumar liye

    wahi sach hai

    wahi taqwe ka asli jahan

    wahi hai KHuda ka azli makan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now