Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab chali sard hawa

Riyaz Anwar

jab chali sard hawa

Riyaz Anwar

MORE BYRiyaz Anwar

    mausam-e-sarmā ye vīrān aur maġhmūm shaam

    kohar chādar meñ lipTī hai sisaktī kā.enāt

    giit ḳhvāboñ tarah larzāñ sulagtī hai hayāt

    barf meñ Duubī havā sīTiyāñ

    chiil ke jangal mīThī loriyāñ

    Dagmagāte haiñ pareshāñ muzmahil lamhoñ ke gaam

    chār-sū āvāz de kar pūchhtā phirtā huuñ maiñ

    in havāoñ jabīn-e-nāz par

    kyā kahīñ likkhā huā hai merā naam

    uḌ rahe haiñ rāstoñ par zard patte jo kabhī

    chand lamhoñ ko bane the zīnat-e-shāḳh-e-shajar

    jaane ye kab tak raheñge yuuñ havā ke dosh par

    kū-ba-kū qarya-ba-qarya yam-ba-yam mahv-e-safar

    dukh ke lambe silsile aur chand lamhoñ ḳhushī

    haa.e apnī zindagī

    mausam-e-sarma ki ye viran aur maghmum sham

    kohar ki chadar mein lipTi hai sisakti kaenat

    git KHwabon ki tarah larzan sulagti hai hayat

    barf mein Dubi hawa ki siTiyan

    chil ke jangal ki miThi loriyan

    Dagmagate hain pareshan muzmahil lamhon ke gam

    chaar-su aawaz de kar puchhta phirta hun main

    in hawaon ki jabin-e-naz par

    kya kahin likkha hua hai mera nam

    uD rahe hain raston par zard patte jo kabhi

    chand lamhon ko bane the zinat-e-shaKH-e-shajar

    jaane ye kab tak rahenge yun hawa ke dosh par

    ku-ba-ku qarya-ba-qarya yam-ba-yam mahw-e-safar

    dukh ke lambe silsile aur chand lamhon ki KHushi

    hae apni zindagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now