aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab hum donon juda hue the

Asghar Nadeem Syed

jab hum donon juda hue the

Asghar Nadeem Syed

MORE BYAsghar Nadeem Syed

    jab ham donoñ judā hue the

    us ne pahnī sarmā rātoñ meñ nikle chāñd saaḌī

    maiñ ne pahnā

    apnī ban-bāsī cholā

    us ne māñgī dhuup

    jo barfoñ par chamkī thī aur hañsī ke dariyā meñ bahte hue

    ham tak pahuñchī thī

    maiñ ne māñgī ghaas meñ girī huī āvāz

    us ke haath meñ

    aaTh pahar ke ḳhvāb chhoTā bachcha thā

    mere haath meñ vaqt ne apne biij se bāhar paañv rakhā

    us aañkh meñ naav Duubī

    merī aañkh meñ ek parinda Dar ke dubkā

    us ke hoñT pe mere naam saaya thā

    mere hoñT pe us ke jism bārish thī

    us ke dil meñ gum-gashta tahzīboñ jaisī ḳhāmoshī thī

    mere dil meñ tez havā yaad meñ khoyā mausam thā

    us ke paañv hairat sīḌhī se nīche utar rahe the

    mere paañv dil zamīñ se lipaT rahe the

    jab ham donoñ judā hue the

    aadhā bosa aadhā aañsū dil meñ rahā

    jab hum donon juda hue the

    us ne pahni sarma ki raaton mein nikle chand ki saDi

    main ne pahna

    apni ban-basi ka chola

    us ne mangi dhup

    jo barfon par chamki thi aur hansi ke dariya mein bahte hue

    hum tak pahunchi thi

    main ne mangi ghas mein giri hui aawaz

    us ke hath mein

    aaTh pahar ke KHwab ka chhoTa bachcha tha

    mere hath mein waqt ne apne bij se bahar panw rakha

    us ki aankh mein naw Dubi

    meri aankh mein ek parinda Dar ke dubka

    us ke honT pe mere nam ka saya tha

    mere honT pe us ke jism ki barish thi

    us ke dil mein gum-gashta tahzibon jaisi KHamoshi thi

    mere dil mein tez hawa ki yaad mein khoya mausam tha

    us ke panw hairat ki siDhi se niche utar rahe the

    mere panw dil ki zamin se lipaT rahe the

    jab hum donon juda hue the

    aadha bosa aadha aansu dil mein raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now