Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jabr-e-haalat

Muslim Shameem

jabr-e-haalat

Muslim Shameem

MORE BYMuslim Shameem

    tirī mashrūt tavajjoh mirī pāband nazar

    jabr-e-hālāt ehsās jagā detī haiñ

    chashm-e-bedār har ḳhvāb sulā detī haiñ

    chāñd sūraj mirī āñkhoñ ke bujhā detī haiñ

    hama ġham ba hama lazzat-e-āzār-e-sitam

    dekhnā Thahrā mujhe ārzū-e-vasl ḳhuuñ

    shaḳhsiyat tirī jaadū ki mohabbat fusūñ

    bārhā chāhūñ magar tark-e-tamannā na karūñ

    zindagī vaqt ke chehre pe lahū maltī hai

    jabr-e-hālāt zulmat meñ sahar paltī hai

    teri mashrut tawajjoh meri paband nazar

    jabr-e-haalat ka ehsas jaga deti hain

    chashm-e-bedar ka har KHwab sula deti hain

    chand suraj meri aankhon ke bujha deti hain

    ba hama gham ba hama lazzat-e-azar-e-sitam

    dekhna Thahra mujhe aarzu-e-wasl ka KHun

    shaKHsiyat ka teri jadu ki mohabbat ka fusun

    barha chahun magar tark-e-tamanna na karun

    zindagi waqt ke chehre pe lahu malti hai

    jabr-e-haalat ki zulmat mein sahar palti hai

    Source:

    Imkan (Pg. 131)

    • Author: Muslim Shameem
      • Publisher: Javedan Pulications, Karachi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now