Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan-e-nau

Naim Siddiqi

jahan-e-nau

Naim Siddiqi

MORE BYNaim Siddiqi

    mujhe ḳhudā ne ḳhilāfat sharaf baḳhshā hai

    mire zer-e-nagīñ is jahāñ ko rakkhā hai

    magar ajiib nizām-e-jahāñ hālat hai

    mire dosh pe aalam bār-e-ḳhidmat hai

    mashaqqateñ likhī haiñ mire muqaddar meñ

    nahīñ sukūn kabhī mere qalb-e-muztar meñ

    hai qasd ab ki karūñ ik jahān-e-nau ābād

    rahūñ tafakkur-e-fardā-o-dosh se āzād

    jahāñ ki kashmakash-e-zīst nishāñ na ho

    hayāt-e-sabr-o-mashaqqat imtihān na ho

    ye sar-zamīñ ye samundar ye āsmān na ho

    darūn-e-dām-e-qafas merā āshiyān na ho

    jahāñ ki ġham ghaTā ruuh pe na chhāne paa.e

    jumūd ālam-e-ehsās par na aane paa.e

    jahāñ ki nuur rahe mere dil bastī meñ

    shabāb-o-sher ke jalve hoñ merī hastī meñ

    vahāñ maiñ dil umañgoñ ke giit gā.uñgā

    vahāñ maiñ husn ko apnā ḳhudā banā.ūñgā

    mujhe KHuda ne KHilafat ka sharaf baKHsha hai

    mere hi zer-e-nagin is jahan ko rakkha hai

    magar ajib nizam-e-jahan ki haalat hai

    mere hi dosh pe aalam ka bar-e-KHidmat hai

    mashaqqaten hi likhi hain mere muqaddar mein

    nahin sukun kabhi mere qalb-e-muztar mein

    hai qasd ab ki karun ek jahan-e-nau aabaad

    rahun tafakkur-e-farda-o-dosh se aazad

    jahan ki kashmakash-e-zist ka nishan na ho

    hayat-e-sabr-o-mashaqqat ka imtihan na ho

    ye sar-zamin ye samundar ye aasman na ho

    darun-e-dam-e-qafas mera aashiyan na ho

    jahan ki gham ki ghaTa ruh pe na chhane pae

    jumud aalam-e-ehsas par na aane pae

    jahan ki nur rahe mere dil ki basti mein

    shabab-o-sher ke jalwe hon meri hasti mein

    wahan main dil ki umangon ke git gaunga

    wahan main husn ko apna KHuda banaunga

    Source:

    Paimana-e-Imroz (Pg. 45)

    • Author: Naim Siddiqi
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now