Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahannam se pahle jahannam

Sidra Sahar Imran

jahannam se pahle jahannam

Sidra Sahar Imran

MORE BYSidra Sahar Imran

    gandum vo boriyāñ

    jo hamāre hisse meñ aa.eñ

    un meñ kahāniyāñ nahīñ

    mare hue kirdār bhare hue the

    ham bahut muddat tak talāshte rahe

    apnā jalāyā gayā badan

    magar koī naqsh mumāsil nahīñ thā

    hamāre ḳhāl-o-ḳhad se

    shāyad hamārā naqsha pighal chukā thā

    jo badan ḳhud-ba-ḳhud nahīñ jalte

    balki jhoñk diye jaate haiñ

    aag bal khaa.ī huī rassiyoñ meñ

    unheñ tumhārī ilhāmī kitāb

    shahīd likhtī hai mahlūk

    ho saktā hai hameñ ka.ī sau saal pahle tak

    zinda rakkhā gayā ho reza reza tah meñ

    magar ab to hameñ māchis tīliyoñ tarah

    band rakhā gayā hai

    makānoñ Dibiyoñ meñ

    jahāñ apne laave meñ kholtī rahtī hai

    hamāre zehnoñ hayā-bāḳhtā baġhāvat

    magar ham shahīd darjātī sīḌhiyoñ se

    gir ke apāhij ho chuke haiñ

    is liye hameñ salāḳhoñ ke sunahrī jaal meñ

    par phaḌphaḌāne do

    kahīñ aisā na ho

    tum hameñ soḳhta dīvāro matrūk kahāniyāñ sunāo

    aur ham māchis tīliyoñ tarah

    bhaḌak uTheñ aur phir........

    jal ke raakh ho jaa.eñ

    jalī huī tīliyoñ jagah kahāñ hotī hai?

    ye jalāne vaale se behtar

    kaun jaan saktā hai?

    gandum ki wo boriyan

    jo hamare hisse mein aaen

    un mein kahaniyan nahin

    mare hue kirdar bhare hue the

    hum bahut muddat tak talashte rahe

    apna jalaya gaya badan

    magar koi naqsh mumasil nahin tha

    hamare KHal-o-KHad se

    ya shayad hamara naqsha pighal chuka tha

    jo badan KHud-ba-KHud nahin jalte

    balki jhonk diye jate hain

    aag ki bal khai hui rassiyon mein

    unhen tumhaari ilhami kitab

    shahid likhti hai ya mahluk

    ho sakta hai hamein kai sau sal pahle tak

    zinda rakkha gaya ho reza reza tah mein

    magar ab to hamein machis ki tiliyon ki tarah

    band rakha gaya hai

    makanon ki Dibiyon mein

    jahan apne hi lawe mein kholti rahti hai

    hamare zehnon ki haya-baKHta baghawat

    magar hum shahid ki darjati siDhiyon se

    gir ke apahij ho chuke hain

    is liye hamein salaKHon ke sunahri jal mein

    par phaDphaDane do

    kahin aisa na ho

    tum hamein soKHta diwaro ki matruk kahaniyan sunao

    aur hum machis ki tiliyon ki tarah

    bhaDak uThen aur phir

    jal ke rakh ho jaen

    jali hui tiliyon ki jagah kahan hoti hai?

    ye jalane wale se behtar

    kaun jaan sakta hai?

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now