Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jamaliyat

Wamiq Jaunpuri

jamaliyat

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    jamāliyāt naqqād jitnā hairāñ hai

    vo bāb-e-husn meñ bhī utnā pareshāñ hai

    jamāliyāt meñ kyā hai jo ḳhud nahīñ fan meñ

    jamāliyāt mahvar nashāt-e-daurāñ hai

    jamāliyāt ko farhañg meñ karo na talāsh

    jamāliyāt meñ zulf-e-suḳhan afshāñ hai

    jamāliyāt ko uslūb meñ shumār karo

    jamāliyāt meñ har fard ik dabistāñ hai

    jamāliyāt taġhayyur-pazīr hissiyat

    jamāliyāt meñ sahrā bhī ik gulistāñ hai

    jamāliyāt saqāfat haft rañg libās

    jo rañg o nasl tafrīq se gurezāñ hai

    jamāliyāt badalte haiñ māh-o-sāl ke saath

    jamāliyāt meñ tārīḳh-e-fikr-e-insāñ hai

    jamāliyāt haiñ taḳhlīq fan sar chashma

    adiib adab ke liye ḳhud jamāl sāmāñ hai

    jamāliyāt meñ hai husn-e-kār jaadū

    jamāliyāt tasḳhīr kār-e-mardāñ hai

    koī usuul nahīñ husn ke parakhne

    kahīñ ḳhizāñ hai hasīñ aur kahīñ bahārāñ hai

    jahāñ meñ jitne haiñ fankār utnī tarah ke husn

    to kyā bañdhe Tike meyār-e-nau imkāñ hai

    badaltā rahtā hai meyār-e-husn husn ke saath

    to kis liye koī naqqād-e-fan pareshāñ hai

    jamaliyat ka naqqad jitna hairan hai

    wo bab-e-husn mein bhi utna hi pareshan hai

    jamaliyat mein kya hai jo KHud nahin fan mein

    jamaliyat ka mahwar nashat-e-dauran hai

    jamaliyat ko farhang mein karo na talash

    jamaliyat mein zulf-e-suKHan ki afshan hai

    jamaliyat ko uslub mein shumar karo

    jamaliyat mein har fard ek dabistan hai

    jamaliyat taghayyur-pazir hissiyat

    jamaliyat mein sahra bhi ek gulistan hai

    jamaliyat saqafat ka haft rang libas

    jo rang o nasl ki tafriq se gurezan hai

    jamaliyat badalte hain mah-o-sal ke sath

    jamaliyat mein tariKH-e-fikr-e-insan hai

    jamaliyat hain taKHliq fan ka sar chashma

    adib adab ke liye KHud jamal saman hai

    jamaliyat mein hai husn-e-kar ka jadu

    jamaliyat ki tasKHir kar-e-mardan hai

    koi usul nahin husn ke parakhne ka

    kahin KHizan hai hasin aur kahin bahaaran hai

    jahan mein jitne hain fankar utni tarah ke husn

    to kya bandhe Tike meyar-e-nau ka imkan hai

    badalta rahta hai meyar-e-husn husn ke sath

    to kis liye koi naqqad-e-fan pareshan hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now