Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jang ka anjam

Meeraji

jang ka anjam

Meeraji

MORE BYMeeraji

    bahū kahe ye buḌhiyā merī jaan laagū ban ke rahegī

    saas kahe gaz-bhar zabāñ hai apnī muñh aa.ī kahegī

    bahū kahe jab dekho jab ḳhvāhī naḳhvāhī baat baḌhānā

    saas pukāre ai mire allāh tauba bhalī ab bachānā

    bahū kahe apnā ghar kaisā yaañ to apne bhī haiñ parā.e

    saas kahe jal-bhun ke use to rāj-mahal bhī raas na aa.e

    bahū kahe jis ke hāthoñ hai Doī usī sab koī hai

    saas pukāre jaao jaao paañv juutī sar pe chaḌhī hai

    bahū kahe mujh janm-jalī ko kis ke palle bāñdh diyā hai

    saas kahe ab kaun batā.e aage jo aayā hai kis kyā hai

    bahū kahe ye puut dardī bas jo chale to bis khilā de

    saas kahe vo baat hai apnī gaalī sune aur phir bhī duā de

    bahū kahe ab sar pe paḌī hai jaise bhī ho guzar jā.egī

    saas kahe jab dekho is ko duudh malīda khā.egī

    bahū kahe jo aatā thā saas ke sāmne bol rahī thī

    saas bhī lekin turkī-ba-turkī bhed bahū ke khol rahī thī

    nanhe ne ye mauqa.a taaḌā jhaT bāvarchī-ḳhāne pahuñchā

    duudh pe aa.ī thī jo milā.ī chupke se us ko khāne pahuñchā

    khā ke jo lauTā raah meñ us ne kaalī billī jaate paa.ī

    dekh ke us ko Dar ke maare zor us ne chīḳh lagā.ī

    ek chīḳh ne us pal meñ saas bahū jhagḌā chukāyā

    dauḌī bahū mire laal huā kyā saas pukārī haa.e ḳhudāyā

    bahu kahe ye buDhiya meri jaan ki lagu ban ke rahegi

    sas kahe gaz-bhar ki zaban hai apni munh aai hi kahegi

    bahu kahe jab dekho jab hi KHwahi naKHwahi baat baDhana

    sas pukare ai mere allah tauba bhali ab tu hi bachana

    bahu kahe apna ghar kaisa yan to apne bhi hain parae

    sas kahe jal-bhun ke use to raj-mahal bhi ras na aae

    bahu kahe jis ke hathon hai Doi usi ka sab koi hai

    sas pukare jao ji jao panw ki juti sar pe chaDhi hai

    bahu kahe mujh janm-jali ko kis ke palle bandh diya hai

    sas kahe ab kaun batae aage jo aaya hai kis ka kya hai

    bahu kahe ye put ki dardi bas jo chale to bis hi khila de

    sas kahe wo baat hai apni gali sune aur phir bhi dua de

    bahu kahe ab sar pe paDi hai jaise bhi ho guzar jaegi

    sas kahe jab dekho is ko dudh malida hi khaegi

    bahu kahe ji jo aata tha sas ke samne bol rahi thi

    sas bhi lekin turki-ba-turki bhed bahu ke khol rahi thi

    nanhe ne ye mauqa taDa jhaT bawarchi-KHane pahuncha

    dudh pe aai thi jo milai chupke se us ko khane pahuncha

    kha ke jo lauTa rah mein us ne kali billi jate pai

    dekh ke us ko Dar ke mare zor ki us ne chiKH lagai

    ek hi chiKH ne us ki pal mein sas bahu ka jhagDa chukaya

    dauDi bahu mere lal hua kya sas pukari hae KHudaya

    Source:

    Kulliyat Meeraji (Pg. 318)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now