Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal ek school

Mateen Achalpuri

jangal ek school

Mateen Achalpuri

MORE BYMateen Achalpuri

    jangal ik schōl re bhayyā

    jangal ik schōl

    pattā pattā ek varaq hai Tahnī ek kitāb

    kāñTā ġham ek alāmat phuul ḳhushī baab

    maktab rāhoñ se baḌh kar hai jangal tuul

    jangal ik schōl re bhayyā

    jangal ik schōl

    shaam nayā sandesa laa.e sub.h nayā paiġhām

    mil-jul kar rahne sabaq miltā hai har har gaam

    laal gulābī niile piile uude uude phuul

    jangal ik schōl re bhayyā

    jangal ik schōl

    sher bhī ik ustād hamārā hāthī bhī ustād

    baat jo samjhe jangal har sāthī bhī ustād

    fitrat ke rāzoñ ko samajhnā ho apnā ma.amūl

    jangal ik schōl re bhayyā

    jangal ik schōl

    jangal ek school re bhayya

    jangal ek school

    patta patta ek waraq hai Tahni ek kitab

    kanTa gham ki ek alamat phul KHushi ka bab

    maktab ki rahon se baDh kar hai jangal ka tul

    jangal ek school re bhayya

    jangal ek school

    sham naya sandesa lae subh naya paigham

    mil-jul kar rahne ka sabaq milta hai har har gam

    lal gulabi nile pile ude ude phul

    jangal ek school re bhayya

    jangal ek school

    sher bhi ek ustad hamara hathi bhi ustad

    baat jo samjhe jangal ka har sathi bhi ustad

    fitrat ke raazon ko samajhna ho apna mamul

    jangal ek school re bhayya

    jangal ek school

    Source:

    Ladle Janwar (Pg. 49)

    • Author: Mateen Achalpuri
      • Publisher: Director Qaumi Council Bara-e- Farogh-e-Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2015

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now