Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal

Wazir Agha

jangal

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    kiiḌe peḌoñ ke jañgal meñ

    pattoñ kaalī dīvāreñ

    dīvāroñ meñ lākhoñ rauzan

    rauzan āñkheñ haiñ jañgal

    vahshī āñkheñ haiñ jañgal

    raahī anjān musāfir

    jañgal āġhāz na āḳhir

    sab raste nāpaid haiñ us ke

    sab rāheñ masdūd sarāsar

    raahī jugnū paikar

    haar chukā jañgal se laḌ kar

    ab aañsū diyā jalā.e

    to gum-karda-rāh musāfir

    aisī pāgal nazroñ se kyuuñ

    auj-e-falak peshānī par

    jhilmil karte us jhūmar ko

    ghuur rahā hai

    kiDe peDon ke jangal mein

    patton ki kali diwaren

    diwaron mein lakhon rauzan

    rauzan aankhen hain jangal ki

    wahshi aankhen hain jangal ki

    tu rahi anjaan musafir

    jangal ka aaghaz na aaKHir

    sab raste napaid hain us ke

    sab rahen masdud sarasar

    tu rahi jugnu sa paikar

    haar chuka jangal se laD kar

    ab aansu ka diya jalae

    to gum-karda-rah musafir

    aisi pagal nazron se kyun

    auj-e-falak ki peshani par

    jhilmil karte us jhumar ko

    ghur raha hai

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 316)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now