Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jannat se dur

Shariq Kaifi

jannat se dur

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    gavāhī hashr ke din

    tamām a.azā ke saath

    ham insānoñ ḳhālī jeb bhī maan jaa.e

    to mumkin hai ki beḌā paar ho jaa.e

    razā aur sabr tākīd par

    vo sirf aur sirf ḳhālī jeb hai insān jo

    bahut khul kar ḳhudā se baat kar saktī hai shāyad

    vahī hai jo farishtoñ likhī sīdhī sapāT a.amāl rūdād meñ bhī

    na.e kuchh rañg bhar saktī hai shāyad

    magar Thahro

    bahut ḳhush-fahm mat ho

    sunā ye hai ḳhudā jeb uupar tak bharī rahtī hai har dam

    aur kabhī ḳhālī nahīñ hotī

    use to donoñ hāthoñ se luTānā bāñTanā aatā hai bas

    aisī rivāyat hai

    yahī to peñch hai

    vo ḳhud jis tajrabe se duur hai

    us ko nazar meñ rakh ke koī faisla karnā

    use manzūr hogā kyaa?

    abhī kuchh der pahle lag rahā thā

    ab hameñ aisā nahīñ lagtā

    ki ḳhālī jeb aur us ke dalā.el koī us par asar hogā

    to matlab ye huā

    ham log ab bhī duur haiñ utnā jannat se

    ki jitnā ye ḳhayāl aane se pahle the

    gawahi hashr ke din

    tamam aaza ke sath

    hum insanon ki KHali jeb ki bhi man li jae

    to mumkin hai ki beDa par ho jae

    raza aur sabr ki takid par

    wo sirf aur sirf KHali jeb hai insan ki jo

    bahut khul kar KHuda se baat kar sakti hai shayad

    wahi hai jo farishton ki likhi sidhi sapaT aamal ki rudad mein bhi

    nae kuchh rang bhar sakti hai shayad

    magar Thahro

    bahut KHush-fahm mat ho

    suna ye hai KHuda ki jeb upar tak bhari rahti hai har dam

    aur kabhi KHali nahin hoti

    use to donon hathon se luTana banTana aata hai bas

    aisi riwayat hai

    yahi to pench hai

    wo KHud jis tajrabe se dur hai

    us ko nazar mein rakh ke koi faisla karna

    use manzur hoga kya?

    abhi kuchh der pahle lag raha tha

    ab hamein aisa nahin lagta

    ki KHali jeb aur us ke dalael ka koi us par asar hoga

    to matlab ye hua

    hum log ab bhi dur hain utna hi jannat se

    ki jitna ye KHayal aane se pahle the

    RECITATIONS

    Shariq Kaifi

    Shariq Kaifi,

    Shariq Kaifi

    jannat se dur Shariq Kaifi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now