Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jashn-e-azadi

Masooda Hayat

jashn-e-azadi

Masooda Hayat

MORE BYMasooda Hayat

    jashn-e-āzādī-e-jamhūr manā.eñ logo

    goshe goshe meñ musāvāt charchā kar deñ

    koī bhūkā na rahe koī bhī nangā na rahe

    aaj har fard in.aam se jholī bhar deñ

    apne kirdār ko is tarah nikhāreñ ham log

    dushman-e-jāñ bhī nigāheñ na uThāne paa.e

    amn ke phuul se rāhoñ ko sajā deñ itnā

    zaḳhm kāñToñ koī paañv na khāne paa.e

    buġhz-o-nafrat añdherā na rahe dhartī par

    ham mohabbat ke charāġhoñ se charāġhāñ kar deñ

    adl-o-insāf kirnoñ ko farozāñ kar ke

    haq-parastī ko zamāne pe numāyāñ kar deñ

    ham agar apne masā.il koī hal DhūñDeñ

    kitne uljhe hue zehnoñ ko sukūñ mil jaa.e

    azm-o-himmat se agar kaam le zehn-e-jamhūr

    dahr ke sho.ala-mizājoñ jahāñ hil jaa.e

    jashn-e-azadi-e-jamhur manaen logo

    goshe goshe mein musawat ka charcha kar den

    koi bhuka na rahe koi bhi nanga na rahe

    aaj har fard ki inam se jholi bhar den

    apne kirdar ko is tarah nikhaaren hum log

    dushman-e-jaan bhi nigahen na uThane pae

    amn ke phul se rahon ko saja den itna

    zaKHm kanTon ka koi panw na khane pae

    bughz-o-nafrat ka andhera na rahe dharti par

    hum mohabbat ke charaghon se charaghan kar den

    adl-o-insaf ki kirnon ko farozan kar ke

    haq-parasti ko zamane pe numayan kar den

    hum agar apne masail ka koi hal DhunDen

    kitne uljhe hue zehnon ko sukun mil jae

    azm-o-himmat se agar kaam le zehn-e-jamhur

    dahr ke shoala-mizajon ka jahan hil jae

    Source:

    Tasveer-e-Watan (Pg. 17)

    • Author: Masooda Hayat
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now