Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawahar lal nehru

Masooda Hayat

jawahar lal nehru

Masooda Hayat

MORE BYMasooda Hayat

    nehru tujh par naaz karegā sadiyoñ hindostān

    shāyad paidā ho na sakegā phir aisā insān

    milā hai tere ruup meñ ham ko ek baḌā vardān

    bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān

    isī liye to kartī hai duniyā terā sammān

    aish-o-ishrat duniyā ko ne yaksar chhoḌā

    jang-e-āzādī meñ tūfānoñ muñh bhī moḌā

    azm-o-himmat se dushman talvāroñ ko toḌā

    bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān

    isī liye to kartī hai duniyā terā sammān

    jaadū kar detī thiiñ dil par terī taqrīreñ

    fikr-o-amal dāvat detī haiñ terī tahrīreñ

    sajī huī haiñ gosha-e-dil meñ terī tasvīreñ

    bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān

    isī liye to kartī hai duniyā terā sammān

    des meñ āzādī parcham jab ne lahrāyā

    sūkhe khetoñ ko kitnī tadbīroñ se lahkāyā

    kitnī mehnat aur lagan se gulshan ko mahkāyā

    bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān

    isī liye to kartī hai duniyā terā sammān

    bachcha bachcha bhārat tere gun gaatā hai

    gulshan ke phūloñ meñ terī ḳhushbū paatā hai

    terī rāhoñ par chalnā har dil ko bhātā hai

    bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān

    isī liye to kartī hai duniyā terā sammān

    nehru tujh par naz karega sadiyon hindostan

    shayad paida ho na sakega phir aisa insan

    mila hai tere rup mein hum ko ek baDa wardan

    bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan

    isi liye to karti hai duniya tera samman

    aish-o-ishrat ki duniya ko tu ne yaksar chhoDa

    jang-e-azadi mein tufanon ka munh bhi moDa

    azm-o-himmat se dushman ki talwaron ko toDa

    bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan

    isi liye to karti hai duniya tera samman

    jadu sa kar deti thin dil par teri taqriren

    fikr-o-amal ki dawat deti hain teri tahriren

    saji hui hain gosha-e-dil mein teri hi taswiren

    bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan

    isi liye to karti hai duniya tera samman

    des mein aazadi ka parcham jab tu ne lahraya

    sukhe kheton ko kitni tadbiron se lahkaya

    kitni mehnat aur lagan se gulshan ko mahkaya

    bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan

    isi liye to karti hai duniya tera samman

    bachcha bachcha bhaarat ka tere hi gun gata hai

    gulshan ke phulon mein teri hi KHushbu pata hai

    teri hi rahon par chalna har dil ko bhata hai

    bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan

    isi liye to karti hai duniya tera samman

    Source:

    Tasveer-e-Watan (Pg. 26)

    • Author: Masooda Hayat
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now