Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazb-e-ghairat

Masood Akhtar Jamal

jazb-e-ghairat

Masood Akhtar Jamal

MORE BYMasood Akhtar Jamal

    Interesting Fact

    Syed Hamid Sahab, Vice-Chancellor Muslim University, Aligarh

    vafā zauq diyā hai tirī mohabbat ne

    diloñ ko fat.h kiyā jazba-e-sharāfat ne

    tirī hayā se taqaddus hai ādamiyat

    kiyā hai tujh ko sar-afrāz jazb-e-ġhairat ne

    chaman meñ jis se hai izn-e-shaguft-e-ġhuncha-o-gul

    gudāz qalb vo baḳhshā hai tujh ko qudrat ne

    bahut kam haiñ vo shā.ista-e-nazar jin ko

    ḳhirāj-e-shauq diyā zindagī azmat ne

    har ek be-kas-o-mazlūm himāyat

    tujhe shu.ūr diyā hai ḳhudā rahmat ne

    faroġh-e-bazm-e-suḳhan terī sarparastī se

    adab shanās kiyā hai tirī aqīdat ne

    shaguftagī dil-e-barbād ko atā hai

    tire ḳhayāl tire yaad latāfat ne

    wafa ka zauq diya hai teri mohabbat ne

    dilon ko fath kiya jazba-e-sharafat ne

    teri haya se taqaddus hai aadamiyat ka

    kiya hai tujh ko sar-afraaz jazb-e-ghairat ne

    chaman mein jis se hai izn-e-shaguft-e-ghuncha-o-gul

    gudaz qalb wo baKHsha hai tujh ko qudrat ne

    bahut hi kam hain wo shaista-e-nazar jin ko

    KHiraj-e-shauq diya zindagi ki azmat ne

    har ek be-kas-o-mazlum ki himayat ka

    tujhe shuur diya hai KHuda ki rahmat ne

    farogh-e-bazm-e-suKHan teri sarparasti se

    adab shanas kiya hai teri aqidat ne

    shaguftagi dil-e-barbaad ko ata ki hai

    tere KHayal tere yaad ki latafat ne

    Source:

    Karwan-e-azadi (Pg. 186)

    • Author: Masood Akhtar Jamal
      • Edition: 1982
      • Publisher: Basmah Khatoon
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now