Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazbaat-e-aftab

MORE BYLala Anoop Chand Aaftab Panipati

    aah meñ ai dil-e-mazlūm asar paidā kar

    jis meñ saudā-e-mohabbat ho vo sar paidā kar

    ġham tūfāñ bhī agar aa.e to kuchh fikr na kar

    qaum dard har ik dil meñ magar paidā kar

    zulmat-e-ġham nishāñ tak na nazar aa.e kahīñ

    vo ḳhayālāt duniyā meñ sahar paidā kar

    sarfaroshoñ tarah pahle miTā de ḳhud ko

    hind ḳhaak se phir la.al-o-gohar paidā kar

    aag be-faiz daulat ko lagā de yārab

    kaam aa.e jo ġharīboñ ke vo zar paidā kar

    aaj bhī qaum ke sheroñ lahū hai tujh meñ

    hausla raam bhisham jigar paidā kar

    hoñ hanūmān aur 'añgad' se hazāroñ yodhdhā

    saiñkaḌoñ bhiim aur arjun se bashar paidā kar

    āsmāñ kāñptā hai naam se jin ke ab tak

    aaj phir qaum meñ vo laḳht-e-jigar paidā kar

    phir zarūrat hai javāñ mardoñ ai mādar-e-hind

    rānā-pratāp se ḳhuddār bashar paidā kar

    ahd-e-rafta meñ janam ne diyā thā jin ko

    mādar-e-hind vahī nūr-e-nazar paidā kar

    chain rāhat se agar umr basar karnī hai

    dil meñ aġhyār ke bhī uns se ghar paidā kar

    gar tamannā hai ki ho saarā zamāna apnā

    jazba-e-ishq-o-mohabbat nazar paidā kar

    'āftāb' ab tirī taqdīr chamkegā zarūr

    mard ban kar koī duniyā meñ hunar paidā kar

    aah mein ai dil-e-mazlum asar paida kar

    jis mein sauda-e-mohabbat ho wo sar paida kar

    gham ka tufan bhi agar aae to kuchh fikr na kar

    qaum ka dard har ek dil mein magar paida kar

    zulmat-e-gham ka nishan tak na nazar aae kahin

    wo KHayalat ki duniya mein sahar paida kar

    sarfaroshon ki tarah pahle miTa de KHud ko

    hind ki KHak se phir lal-o-gohar paida kar

    aag be-faiz ki daulat ko laga de yarab

    kaam aae jo gharibon ke wo zar paida kar

    aaj bhi qaum ke sheron ka lahu hai tujh mein

    hausla ram ka bhisham ka jigar paida kar

    hon hanuman aur 'angad' se hazaron yodhdha

    sainkaDon bhim aur arjun se bashar paida kar

    aasman kanpta hai nam se jin ke ab tak

    aaj phir qaum mein wo laKHt-e-jigar paida kar

    phir zarurat hai jawan mardon ki ai madar-e-hind

    rana-pratap se KHuddar bashar paida kar

    ahd-e-rafta mein janam tu ne diya tha jin ko

    madar-e-hind wahi nur-e-nazar paida kar

    chain rahat se agar umr basar karni hai

    dil mein aghyar ke bhi uns se ghar paida kar

    gar tamanna hai ki ho sara zamana apna

    jazba-e-ishq-o-mohabbat ki nazar paida kar

    'aftab' ab teri taqdir ka chamkega zarur

    mard ban kar koi duniya mein hunar paida kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now