Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazbaat

MORE BYLala Anoop Chand Aaftab Panipati

    ġham chhā jā.egī duniyā meñ ghaTā mere ba.ad

    aur barseñge bahut tīr-e-balā mere ba.ad

    dekhnā hashr kyā hotā hai ki jab aa.egī

    dar-o-dīvār se rone sadā mere ba.ad

    bijliyāñ chamkeñgī ālām-o-masā.ib agar

    ġham chal jā.egī har samt havā mere ba.ad

    apnī Thokar se mirī qabr ko Dhāyā aa kar

    zulm ye aur bhī zālim ne kiyā mere ba.ad

    aaj dil khol ke tum zulm-o-sitam kar Daalo

    phir chalāoge kahāñ teġh-e-jafā mere ba.ad

    merī sūrat se bhī chiḌh ho ga.ī paidā jin ko

    ḳhuuñ rulā.egī unheñ merī vafā mere ba.ad

    haath se apne miTāne pe tule ho lekin

    kaun bhugtegā mohabbat sazā mere ba.ad

    ḳhud pachhtāoge duniyā se miTā kar mujh ko

    tum ko bedād aa.egā mazā mere ba.ad

    apne bīmār-e-mohabbat ko na taḌpāo tum

    phir dikhā lenā unheñ nāz-o-adā mere ba.ad

    vo bahāne lage āñkhoñ se lahū ke aañsū

    rañg le aa.ī hai ye merī vafā mere ba.ad

    'āftāb' aaj mohabbat ne asar dikhlāyā

    un ke siine meñ bhī ab dard uThā mere ba.ad

    gham ki chha jaegi duniya mein ghaTa mere baad

    aur barsenge bahut tir-e-bala mere baad

    dekhna hashr kya hota hai ki jab aaegi

    dar-o-diwar se rone ki sada mere baad

    bijliyan chamkengi aalam-o-masaib ki agar

    gham ki chal jaegi har samt hawa mere baad

    apni Thokar se meri qabr ko Dhaya aa kar

    zulm ye aur bhi zalim ne kiya mere baad

    aaj dil khol ke tum zulm-o-sitam kar Dalo

    phir chalaoge kahan tegh-e-jafa mere baad

    meri surat se bhi chiDh ho gai paida jin ko

    KHun rulaegi unhen meri wafa mere baad

    hath se apne miTane pe tule ho lekin

    kaun bhugtega mohabbat ki saza mere baad

    KHud hi pachhtaoge duniya se miTa kar mujh ko

    tum ko bedad ka aaega maza mere baad

    apne bimar-e-mohabbat ko na taDpao tum

    phir dikha lena unhen naz-o-ada mere baad

    wo bahane lage aankhon se lahu ke aansu

    rang le aai hai ye meri wafa mere baad

    'aftab' aaj mohabbat ne asar dikhlaya

    un ke sine mein bhi ab dard uTha mere baad

    Source:

    Josh-e-watan (Pg. E-100 B-98)

    • Author: Lala Anoop Chand Aaftab Panipati
      • Edition: 1941
      • Publisher: Matbua Dilli Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now