Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhula

MORE BYAkhtar Shirani

    aayā sāvan mahīna nazar aayā jhūlā

    dil ko bhāyā mirī āñkhoñ meñ samāyā jhūlā

    saal bhar rah ke bahishtoñ fazā meñ mehmāñ

    abr god meñ baiThā huā aayā jhūlā

    cholī-dāman hai saath ghaTā is

    is taraf aa.ī ghaTā us taraf aayā jhūlā

    rut hai jhūle na kyoñ aaj ḳhudā.ī jhūle

    nannhī kaliyoñ ko havāoñ ne jhulāyā jhūlā

    peñg baḌhne lagī āñchal ko ghaTā ke chhūne

    baaġh meñ sakhiyoñ ne is tarah jhulāyā jhūlā

    jhūmtī aatī haiñ mastāna ghaTā.eñ kaisī

    DhūñD kar hai inheñ kis des se laayā jhūlā

    giit sun sun ke ghaTā.eñ bhī bahak uThī haiñ

    mil ke sakhiyoñ ne kuchh is dhuum se gaayā jhūlā

    phuul hilte haiñ idhar shāḳh lachaktī hai udhar

    bahāroñ ko hai qudrat ne jhulāyā jhūlā

    duur pardes meñ ham kis ko jhulā.eñ 'aḳhtar'

    hasrat-o-yās paiġhām hai laayā jhūlā

    aaya sawan ka mahina nazar aaya jhula

    dil ko bhaya meri aankhon mein samaya jhula

    sal bhar rah ke bahishton ki faza mein mehman

    abr ki god mein baiTha hua aaya jhula

    choli-daman ka sa hai sath ghaTa ka is ka

    is taraf aai ghaTa us taraf aaya jhula

    rut hai jhule ki na kyon aaj KHudai jhule

    nannhi kaliyon ko hawaon ne jhulaya jhula

    peng baDhne lagi aanchal ko ghaTa ke chhune

    bagh mein sakhiyon ne is tarah jhulaya jhula

    jhumti aati hain mastana ghaTaen kaisi

    DhunD kar hai inhen kis des se laya jhula

    git sun sun ke ghaTaen bhi bahak uThi hain

    mil ke sakhiyon ne kuchh is dhum se gaya jhula

    phul hilte hain idhar shaKH lachakti hai udhar

    ya bahaaron ko hai qudrat ne jhulaya jhula

    dur pardes mein hum kis ko jhulaen 'aKHtar'

    hasrat-o-yas ka paigham hai laya jhula

    Source:

    Kulliyat-e-Akhtar Sheerani (Pg. 582)

    • Author: Akhtar Shirani
      • Publisher: New Taj Office, Delhi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now