jihaalat ka ilm
bāġhbān phūloñ ke baare meñ mujh se ziyāda jāntā hai
gāḌībān ghoḌe ke baare meñ mujh se ziyāda jāntā hai
daraḳht zamīn ke baare meñ mujh se ziyāda jāntā hai
parinde havā ke baare meñ mujh se ziyāda jānte haiñ
dīmak darvāzoñ ke baare meñ mujh se ziyāda jāntī hai
aa.ina 'aurat ke baare meñ mujh se ziyāda jāntā hai
'aurat taḳhlīq ke baare meñ mujh se ziyāda jāntī hai
baghban phulon ke bare mein mujh se ziyaada jaanta hai
gaDiban ghoDe ke bare mein mujh se ziyaada jaanta hai
daraKHt zamin ke bare mein mujh se ziyaada jaanta hai
parinde hawa ke bare mein mujh se ziyaada jaante hain
dimak darwazon ke bare mein mujh se ziyaada jaanti hai
aaina 'aurat ke bare mein mujh se ziyaada jaanta hai
'aurat taKHliq ke bare mein mujh se ziyaada jaanti hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 100)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.