Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jine marne ke darmiyan ek saat

Shahzad Ahmad

jine marne ke darmiyan ek saat

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    kabhī jiine kabhī marne ḳhvāhish rok letī hai

    vagarna maiñ havā lahr meñ tahlīl ho jā.ūñ

    kidhar jā.ūñ ki har-sū sā.ateñ raste patthar haiñ

    agar baiThā rahūñ to raakh meñ tabdīl ho jā.ūñ

    vo jādūgar thā jis ne raat par pahre biThā.e the

    vagarna ab talak ye chāñd taare miT chuke hote

    junūn-e-āgahī mānūs āñkhoñ se chhalak jaatā

    bisāt-e-zindagī ke saare mohre piT chuke hote

    mujhe ma.alūm hai ik chāñd din ko bhī nikaltā hai

    mujhe ma.alūm hai rāteñ bhī ik ḳhurshīd rakhtī haiñ

    agar ye donoñ aalam ek ho jaa.eñ to phir kyā ho

    havā.eñ raat din yaktā.ī ummīd rakhtī haiñ

    magar in vus.atoñ ko kaun bāñhoñ meñ sameTegā

    kahāñ se aa.egī vo raushnī jo muntahī hogī

    diloñ tīrgī kuchh aur gahrī hotī jaatī hai

    aziyyat raushnī din rag rag ne sahī hogī

    kidhar jā.ūñ ki har rāste kirnoñ sūrat haiñ

    magar kirnoñ pe chalnā be-qarārī ko nahīñ aatā

    vo nuqta jis pe maiñ huuñ marqad-e-shām-e-ġharībāñ hai

    magar is samt koī āh-o-zārī ko nahīñ aatā

    kabhi jine kabhi marne ki KHwahish rok leti hai

    wagarna main hawa ki lahr mein tahlil ho jaun

    kidhar jaun ki har-su saaten raste ka patthar hain

    agar baiTha rahun to rakh mein tabdil ho jaun

    wo jadugar tha jis ne raat par pahre biThae the

    wagarna ab talak ye chand tare miT chuke hote

    junun-e-agahi manus aankhon se chhalak jata

    bisat-e-zindagi ke sare mohre piT chuke hote

    mujhe malum hai ek chand din ko bhi nikalta hai

    mujhe malum hai raaten bhi ek KHurshid rakhti hain

    agar ye donon aalam ek ho jaen to phir kya ho

    hawaen raat din yaktai ki ummid rakhti hain

    magar in wusaton ko kaun banhon mein sameTega

    kahan se aaegi wo raushni jo muntahi hogi

    dilon ki tirgi kuchh aur gahri hoti jati hai

    aziyyat raushni ki din ki rag rag ne sahi hogi

    kidhar jaun ki har su raste kirnon ki surat hain

    magar kirnon pe chalna be-qarari ko nahin aata

    wo nuqta jis pe main hun marqad-e-sham-e-ghariban hai

    magar is samt koi aah-o-zari ko nahin aata

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 1020)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now