Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jila-watan shahzad-gan ka jashn

Khaleel Mamoon

jila-watan shahzad-gan ka jashn

Khaleel Mamoon

MORE BYKhaleel Mamoon

    qabr miTTī churā kar bhāgne vāloñ meñ ham afzal nahīñ

    ham koī qātil nahīñ

    bismil nahīñ

    munjamid ḳhūnīñ chaTānoñ par do-zānū baiTh kar

    ghūmtī suuī ke raste salīboñ se Tapakte

    qatra qatra surḳh-rū sayyāl ko

    uñgliyoñ par gin rahe haiñ

    chun rahe haiñ

    manzar-e-nēlofarī jhiil meñ

    girtā huā ik āsmān-e-nūr zaḳhḳhār shor

    ham ki apnī tishnagī ke sab zarūf

    apnī apnī past-qad dahlīz par toḌ aa.e the

    nāriyal ke āsmāñ andoḳhta sāyoñ tale

    laḌkhaḌā kar

    ātishīñ sāhil jaltī ret par auñdhe paḌe haiñ

    ātishīñ sayyāl jab jab

    jism sarhad pe ġhash khaa.e sipāhī ragoñ ko chheḌtā hai

    hosh aatā hai

    to chāroñ samt raushan dekhte haiñ

    ik alaav be-karāñ

    jis meñ tamām āsmānoñ ridā.eñ jal rahī haiñ

    aur phir

    jalte gulāboñ se ubhartī za.afrānī raushnī

    ham ko salāmī de rahī hai

    qabr ki miTTi chura kar bhagne walon mein hum afzal nahin

    hum koi qatil nahin

    bismil nahin

    munjamid KHunin chaTanon par do-zanu baiTh kar

    ghumti sui ke raste ki salibon se Tapakte

    qatra qatra surKH-ru sayyal ko

    ungliyon par gin rahe hain

    chun rahe hain

    manzar-e-neelofari ki jhil mein

    girta hua ek aasman-e-nur ka zaKHKHar shor

    hum ki apni tishnagi ke sab zaruf

    apni apni past-qad dahliz par toD aae the

    nariyal ke aasman andoKHta sayon tale

    laDkhaDa kar

    aatishin sahil ki jalti ret par aundhe paDe hain

    aatishin sayyal jab jab

    jism ki sarhad pe ghash khae sipahi ki ragon ko chheDta hai

    hosh aata hai

    to chaaron samt raushan dekhte hain

    ek alaw be-karan

    jis mein tamam aasmanon ki ridaen jal rahi hain

    aur phir

    jalte gulabon se ubharti zafrani raushni

    hum ko salami de rahi hai

    Source :
    • Book : saughat (2 and 3) (rekhta website) (Pg. 136)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now