aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism se aage ki manzil

Faisal Hashmi

jism se aage ki manzil

Faisal Hashmi

MORE BYFaisal Hashmi

    jism aag kahāñ bujhtī hai

    log kis vaqt mohabbat nasha sūñghte haiñ

    kitne TukḌoñ meñ bikharte haiñ vo

    aur phir joḌte haiñ

    ek ik kar ke badan ke a.azā

    aur yahī kahte haiñ

    ḳhaak ke qurb betāb kashish

    ek be-faiz sar-garmī hai

    jism se aage manzil nahīñ dekhī ham ne

    jism ki aag kahan bujhti hai

    log kis waqt mohabbat ka nasha sunghte hain

    kitne TukDon mein bikharte hain wo

    aur phir joDte hain

    ek ek kar ke badan ke aaza

    aur yahi kahte hain

    KHak ke qurb ki betab kashish

    ek be-faiz si sar-garmi hai

    jism se aage ki manzil nahin dekhi hum ne

    Source:

    Kisi Hairan Sa'at Mein (Pg. 81)

    • Author: Faisal Hashmi
      • Publisher: Kaghzi Pairahan, Lahore
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now