Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

judai ki pahli raat

Parveen Shakir

judai ki pahli raat

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    aañkh bojhal hai

    magar niiñd nahīñ aatī hai

    merī gardan meñ hamā.il tirī bāñheñ jo nahīñ

    kisī karvaT bhī mujhe chain nahīñ paḌtā hai

    sard paḌtī huī raat

    māñgne aa.ī hai phir mujh se

    tire narm badan garmī

    aur darīchoñ se jhijaktī huī āhista havā

    khojtī hai mire ġham-ḳhāne meñ

    terī sāñsoñ gulābī ḳhushbū!

    merā bistar nahīñ

    dil bhī bahut ḳhālī hai

    ik ḳhalā hai ki mirī ruuh meñ dahshat tarah utrā hai

    terā nanhā vajūd

    kaise us ne mujhe bhar rakkhā thā

    tire hote hue duniyā se ta.alluq zarūrat na thī

    saarī vābastagiyāñ tujh se thiiñ

    mirī soch bhii, tasvīr bhī aur bolī bhī

    maiñ tirī maañ, bhī tirī dost bhī ham-jolī bhī

    tere jaane pe khulā

    lafz koī mujhe yaad nahīñ

    baat karnā mujhe bhuul gayā!

    mirī ruuh hissa thā

    mire chāroñ taraf

    chāñd tarah se raqsāñ thā magar

    kis qadar jald tirī hastī ne

    mire atrāf meñ sūraj jagah le hai

    ab tire gird maiñ raqsinda huuñ!

    vaqt faisla thā

    tire fardā rifāqat ke liye

    merā imroz akelā rah jaa.e

    mire bachche, mire laal

    farz to mujh ko nibhānā hai magar

    dekh ki kitnī akelī huuñ maiñ!

    aankh bojhal hai

    magar nind nahin aati hai

    meri gardan mein hamail teri banhen jo nahin

    kisi karwaT bhi mujhe chain nahin paDta hai

    sard paDti hui raat

    mangne aai hai phir mujh se

    tere narm badan ki garmi

    aur darichon se jhijakti hui aahista hawa

    khojti hai mere gham-KHane mein

    teri sanson ki gulabi KHushbu!

    mera bistar hi nahin

    dil bhi bahut KHali hai

    ek KHala hai ki meri ruh mein dahshat ki tarah utra hai

    tera nanha sa wajud

    kaise us ne mujhe bhar rakkha tha

    tere hote hue duniya se talluq ki zarurat hi na thi

    sari wabastagiyan tujh se thin

    tu meri soch bhi, taswir bhi aur boli bhi

    main teri man, bhi teri dost bhi ham-joli bhi

    tere jaane pe khula

    lafz hi koi mujhe yaad nahin

    baat karna hi mujhe bhul gaya!

    tu meri ruh ka hissa tha

    mere chaaron taraf

    chand ki tarah se raqsan tha magar

    kis qadar jald teri hasti ne

    mere atraf mein suraj ki jagah le li hai

    ab tere gird main raqsinda hun!

    waqt ka faisla tha

    tere farda ki rifaqat ke liye

    mera imroz akela rah jae

    mere bachche, mere lal

    farz to mujh ko nibhana hai magar

    dekh ki kitni akeli hun main!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now