Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

judai

MORE BYMustafa Zaidi

    nigār-e-shām-e-ġham maiñ tujh se ruḳhsat hone aayā huuñ

    gale mil le ki yuuñ milne naubat phir na aa.egī

    sar-e-rāhe jo ham donoñ kahīñ mil bhī ga.e to kyā

    ye lamhe phir na lauTeñge ye saa.at phir na aa.egī

    jaras naġhmagī āvāz-e-mātam hotī jaatī hai

    ġhazab tīrgī hai rāsta dekhā nahīñ jaatā

    ye maujoñ talātum ye bhare dariyā tuġhyānī

    zarā der meñ ye dhaḌkaneñ bhī Duub jā.eñgī

    mirī ā.ankhoñ tak aa pahuñchā hai ab bahtā huā paanī

    tirī āvāz maddham aur maddham hotī jaatī hai

    nigar-e-sham-e-gham main tujh se ruKHsat hone aaya hun

    gale mil le ki yun milne ki naubat phir na aaegi

    sar-e-rahe jo hum donon kahin mil bhi gae to kya

    ye lamhe phir na lauTenge ye saat phir na aaegi

    jaras ki naghmagi aawaz-e-matam hoti jati hai

    ghazab ki tirgi hai rasta dekha nahin jata

    ye maujon ka talatum ye bhare dariya ki tughyani

    zara si der mein ye dhaDkanen bhi Dub jaengi

    meri aaankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua pani

    teri aawaz maddham aur maddham hoti jati hai

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 32)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now