Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jumud

MORE BYAkhtar Payami

    ye shaam shām-e-avadh nahīñ hai jise tumhārī siyāh zulfeñ chhupā sakeñgī

    ye sub.h sub.h-e-tarab nahīñ hai

    ye ik dhuñdlakā hai ek kohrā

    ubharte sūraj garm kirnoñ ke ḳhvāb sayyāl ho ga.e haiñ

    zamīn apnī ragoñ garmī luTā chukī hai

    hayāt aañsū bahā rahī hai

    har ek barg-o-samar pe motī jhalak rahe haiñ

    tum apne āñchal pe bazm-e-parvīñ sajā chukī ho

    tum apne anfās ke jilau meñ hazāroñ ġhunche khilā chukī ho

    ḳhirām-e-nāzuk sāhirī se zamīñ ko jannat banā chukī ho

    tum ik tabassum se kitnī sham.eñ jalā chukī ho

    magar ye shām-e-avadh nahīñ hai

    ki sham.a ab tak jalī nahīñ hai

    ye sub.h sub.h-e-tarab nahīñ hai

    ki sham.a ab tak bujhī nahīñ hai

    ye vaqt ik ajiib lamha hai jis sharyānoñ meñ ḳhuun jamne lagā hai

    ye ek afsūn-e-dilbarī hai

    na sub.h-e-vaslat na shām-e-hijrāñ

    na bū-e-yūsuf na chaak dāmāñ

    tumhāre āñchal bazm-e-parvīñ ujaḌ chukī hai

    tumhārī mauj-e-yaqīñ se kitne guloñ ke chehre utar ga.e haiñ

    tumhāre qadmoñ āhaToñ ne chaman ko vīrāñ banā diyā hai

    ye sham sham-e-awadh nahin hai jise tumhaari siyah zulfen chhupa sakengi

    ye subh subh-e-tarab nahin hai

    ye ek dhundlaka hai ek kohra

    ubharte suraj ki garm kirnon ke KHwab sayyal ho gae hain

    zamin apni ragon ki garmi luTa chuki hai

    hayat aansu baha rahi hai

    har ek barg-o-samar pe moti jhalak rahe hain

    tum apne aanchal pe bazm-e-parwin saja chuki ho

    tum apne anfas ke jilau mein hazaron ghunche khila chuki ho

    KHiram-e-nazuk ki sahiri se zamin ko jannat bana chuki ho

    tum ek tabassum se kitni shamen jala chuki ho

    magar ye sham-e-awadh nahin hai

    ki shama ab tak jali nahin hai

    ye subh subh-e-tarab nahin hai

    ki shama ab tak bujhi nahin hai

    ye waqt ka ek ajib lamha hai jis ki sharyanon mein KHun jamne laga hai

    ye ek afsun-e-dilbari hai

    na subh-e-waslat na sham-e-hijran

    na bu-e-yusuf na chaak daman

    tumhaare aanchal ki bazm-e-parwin ujaD chuki hai

    tumhaari mauj-e-yaqin se kitne gulon ke chehre utar gae hain

    tumhaare qadmon ki aahaTon ne chaman ko viran bana diya hai

    Source:

    Aina Khane (Pg. 147)

    • Author: Akhtar payami
      • Edition: 2004
      • Publisher: Zain Publications
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now