Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaenat ek azim sadaqat hai

Javed Nadeem

kaenat ek azim sadaqat hai

Javed Nadeem

MORE BYJaved Nadeem

    kā.enāt ek aziim sadāqat hai

    sarāpā magar tah-dar-tah sadāqat

    kā.enāt ye sadāqateñ

    aadmī par ba-tadrīj zāhir hotī haiñ

    ki aadmī sadāqat-e-kāmila ke idrāk ba-yak-vaqt mutahammil nahīñ

    ek sadāqat ke baa'd dūsrī irfān pahlī ko bātil nahīñ kartā

    din ujālā raat ke añdhere munkir nahīñ hai

    patjhaḌ be-raunaqī aane vaale mausam shādābī muzhda hai

    maut hamesha zindagī ham-safar rahī hai

    kaash

    ham is nukte ko samajh sakte

    kaenat ek azim sadaqat hai

    sarapa magar tah-dar-tah sadaqat

    kaenat ki ye sadaqaten

    aadmi par ba-tadrij zahir hoti hain

    ki aadmi sadaqat-e-kaamila ke idrak ka ba-yak-waqt mutahammil nahin

    ek sadaqat ke ba'd dusri ka irfan pahli ko baatil nahin karta

    din ka ujala raat ke andhere ka munkir nahin hai

    patjhaD ki be-raunaqi aane wale mausam ki shadabi ka muzhda hai

    maut hamesha hi zindagi ki ham-safar rahi hai

    kash

    hum is nukte ko samajh sakte

    Source:

    Mauj-e-Khayal (Pg. 40)

    • Author: Javed Nadeem
      • Publisher: Takmeel Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now