Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaenat

Javed Akhtar

kaenat

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    maiñ kitnī sadiyoñ se tak rahā huuñ

    ye kā.enāt aur is vus.at

    tamām hairat tamām hairat

    ye kyā tamāshā ye kyā samāñ hai

    ye kyā ayaañ hai ye kyā nihāñ hai

    athāh sāġhar hai ik ḳhalā

    na jaane kab se na jaane kab tak

    kahāñ talak hai

    hamārī nazroñ intihā hai

    jise samajhte haiñ ham falak hai

    ye raat chhalnī chhalnī kaalā āsmāñ hai

    ki jis meñ jugnū shakl meñ

    be-shumār sūraj pighal rahe haiñ

    shahāb-e-sāqib hai

    hamesha ThanDī kaalī fazāoñ meñ

    jaise aag ke tiir chal rahe haiñ

    karoḌ-hā nuurī barsoñ ke fāsloñ meñ phailī

    ye kahkashā.eñ

    ḳhalā ghere haiñ

    ḳhalāoñ qaid meñ hai

    ye kaun kis ko liye chalā hai

    har ek lamha

    karoḌoñ mīloñ jo masāfat hai

    in ko āḳhir kahāñ hai jaanā

    agar hai in kahīñ koī āḳhirī Thikānā

    to vo kahāñ hai

    jahāñ kahīñ hai

    savāl ye hai

    vahāñ se aage koī zamīñ hai

    koī falak hai

    agar nahīñ hai

    to ye nahīñ kitnī duur tak hai

    maiñ kitnī sadiyoñ se tak rahā huuñ

    ye kā.enāt aur is vus.at

    tamām hairat tamām hairat

    sitāre jin safīr kirneñ

    karoḌoñ barsoñ se raah meñ hai

    zamīñ se milne chaah meñ hai

    kabhī to aa ke kareñgī ye merī āñkheñ raushan

    kabhī to aa.egī mere hāthoñ meñ raushnī ek aisā dāman

    ki jis ko thāme maiñ ke dekhūñgā in ḳhalāoñ ke

    phaile āñgan

    kabhī to mujh ko ye kā.enāt apne raaz khul ke

    sunā degī

    ye apnā āġhāz apnā anjām

    mujh ko ik din batā degī

    agar koī vaa.iz apne mimbar se

    naḳhvat-āmez lahze meñ ye kahe

    ki tum to kabhī samajh nahīñ sakoge

    ki is qadar hai ye baat gahrī

    to koī pūchhe

    jo maiñ na samjhā

    to kaun samjhā.egā

    aur jis ko kabhī na koī samajh sake

    aisī baat to phir fuzūl Thahrī

    main kitni sadiyon se tak raha hun

    ye kaenat aur is ki wusat

    tamam hairat tamam hairat

    ye kya tamasha ye kya saman hai

    ye kya ayan hai ye kya nihan hai

    athah saghar hai ek KHala ka

    na jaane kab se na jaane kab tak

    kahan talak hai

    hamari nazron ki intiha hai

    jise samajhte hain hum falak hai

    ye raat ka chhalni chhalni sa kala aasman hai

    ki jis mein jugnu ki shakl mein

    be-shumar suraj pighal rahe hain

    shahab-e-saqib hai

    ya hamesha ki ThanDi kali fazaon mein

    jaise aag ke tir chal rahe hain

    karoD-ha nuri barson ke faslon mein phaili

    ye kahkashaen

    KHala ghere hain

    ya KHalaon ki qaid mein hai

    ye kaun kis ko liye chala hai

    har ek lamha

    karoDon milon ki jo masafat hai

    in ko aaKHir kahan hai jaana

    agar hai in ka kahin koi aaKHiri Thikana

    to wo kahan hai

    jahan kahin hai

    sawal ye hai

    wahan se aage koi zamin hai

    koi falak hai

    agar nahin hai

    to ye nahin kitni dur tak hai

    main kitni sadiyon se tak raha hun

    ye kaenat aur is ki wusat

    tamam hairat tamam hairat

    sitare jin ki safir kirnen

    karoDon barson se rah mein hai

    zamin se milne ki chah mein hai

    kabhi to aa ke karengi ye meri aankhen raushan

    kabhi to aaegi mere hathon mein raushni ka ek aisa daman

    ki jis ko thame main ja ke dekhunga in KHalaon ke

    phaile aangan

    kabhi to mujh ko ye kaenat apne raaz khul ke

    suna hi degi

    ye apna aaghaz apna anjam

    mujh ko ek din bata hi degi

    agar koi waiz apne mimbar se

    naKHwat-amez lahze mein ye kahe

    ki tum to kabhi samajh hi nahin sakoge

    ki is qadar hai ye baat gahri

    to koi puchhe

    jo main na samjha

    to kaun samjhaega

    aur jis ko kabhi na koi samajh sake

    aisi baat to phir fuzul Thahri

    Source:

    Lava (Pg. 33)

    • Author: Javed Akhtar
      • Edition: 2012
      • Publisher: Raj Kamal Parkashan
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now