Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaghaz ke phul

Fareed Ishrati

kaghaz ke phul

Fareed Ishrati

MORE BYFareed Ishrati

    phuul kāġhaz ke haiñ ḳhushbū se bahut duur haiñ ye

    merī maañ to unheñ be-kār chunā kartī hai

    chāñdnī ho ki kaḌī dhuup garmī kuchh ho

    merī ḳhātir kahāñ roz phirā kartī hai

    mere malbūs mohabbat jo paivand bane

    mujh ko us reshmī kapḌe zarūrat kyā hai

    jo kabhī apnā kabhī ġhair bīmār bane

    mujh ko us husn yalġhār se nisbat kyā hai

    apne zauq-e-tabassum meñ giraftār-o-asīr

    zard chehre pe mile ġhāza-e-gul-e-rañg dhuul

    ġhair-mumkin hai na deñ terī nigāhoñ ko fareb

    muskurāte hue lab aur ye hañste hue phuul

    kyā baḌhā.eñge kabhī zīnat-e-dāmān-e-ḳhulūs

    ḳhārzāroñ se ulajhnā jinheñ aatā na ho

    jin se qaa.em na ho ḳhud apne jalvoñ vaqār

    ā.īna le ke sañvarnā jinheñ aatā na ho

    rāt-bhar jaltā rahe chāhiye mujh ko vo charāġh

    phuul kāġhaz ke haiñ kuchh der meñ jal jā.eñge

    tere hāthoñ ke tarāshe hue maj.hūl sanam

    mere hāthoñ harārat se pighal jā.eñge

    kyā milegā mujhe us gul ke tabassum se kabhī

    jis ke chehre pe ho rañgīn sharārat lakīr

    kyā milegā mujhe us haat zebā.ī se

    jis pe chaḌhte hue sharmā.e hinā tahrīr

    aise gulshan meñ kahāñ rāt-kī-rānī mahke

    jis ke har goshe se katrā ke guzartī ho bahār

    qāfila apnī umīdoñ kahāñ par Thahre

    duur tak chhāyā ho jab gardish-e-daurāñ ġhubār

    dil meñ ik vaqt-e-tarab-nāk armān liye

    ḳhud ko yuuñ vaqf-e-ġham-o-gardish-e-hālāt na kar

    jin da.avā hai ki haiñ tere muqaddar ke ḳhudā

    merī ḳhātir to kabhī un se koī baat na kar

    phuul kāġhaz ke haiñ ḳhushbū se bahut duur haiñ ye

    merī maañ unheñ be-kār chunā kartī hai

    chāñdnī ho ki kaḌī dhuup garmī chakkho

    merī ḳhātir kahāñ roz phirā kartī hai

    phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye

    meri man to unhen be-kar chuna karti hai

    chandni ho ki kaDi dhup ki garmi kuchh ho

    meri KHatir tu kahan roz phira karti hai

    mere malbus mohabbat ka jo paiwand bane

    mujh ko us reshmi kapDe ki zarurat kya hai

    jo kabhi apna kabhi ghair ka bimar bane

    mujh ko us husn ki yalghaar se nisbat kya hai

    apne hi zauq-e-tabassum mein giraftar-o-asir

    zard chehre pe mile ghaza-e-gul-e-rang ki dhul

    ghair-mumkin hai na den teri nigahon ko fareb

    muskuraate hue lab aur ye hanste hue phul

    kya baDhaenge kabhi zinat-e-daman-e-KHulus

    KHarzaron se ulajhna jinhen aata hi na ho

    jin se qaem na ho KHud apne hi jalwon ka waqar

    aaina le ke sanwarna jinhen aata hi na ho

    raat-bhar jalta rahe chahiye mujh ko wo charagh

    phul kaghaz ke hain kuchh der mein jal jaenge

    tere hathon ke tarashe hue majhul sanam

    mere hathon ki hararat se pighal jaenge

    kya milega mujhe us gul ke tabassum se kabhi

    jis ke chehre pe ho rangin shararat ki lakir

    kya milega mujhe us hat ki zebai se

    jis pe chaDhte hue sharmae hina ki tahrir

    aise gulshan mein kahan raat-ki-rani mahke

    jis ke har goshe se katra ke guzarti ho bahaar

    qafila apni umidon ka kahan par Thahre

    dur tak chhaya ho jab gardish-e-dauran ka ghubar

    dil mein ek waqt-e-tarab-nak ka arman liye

    KHud ko yun waqf-e-gham-o-gardish-e-haalat na kar

    jin ka dawa hai ki hain tere muqaddar ke KHuda

    meri KHatir to kabhi un se koi baat na kar

    phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye

    meri man tu unhen be-kar chuna karti hai

    chandni ho ki kaDi dhup ki garmi chakkho

    meri KHatir tu kahan roz phira karti hai

    Source:

    Sahar Hone Tak (Pg. 45)

    • Author: Fareed Ishrati
      • Edition: 1974
      • Publisher: Fareed Ishrati
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now